Dekho Shiv Ki Barat Chali Hai (देखो शिव की बारात चली है: भजन)


Dekho Shiv Ki Barat Chali Hai,
Bhole Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di,
Swarg Mein Mach Gai Khalbali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥
Shivganon Se to Bhasmi Mangai Hai,
Bhole Shankar Ne Tan Pe Ramai Hai,
Dekho Shukr Ne Dholak Uthaya Hai,
Shanidev Ke Haathon Shahanai Hai,
Laye Khadtaal Bajrangbali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di,
Dekhon Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥

Jab Pahunche Himachal Ke Dware Hai,
Huye Behosh Sab Dar Ke Maare Hai,
Kaano Mein Dekho Bichchhu Ke Kundal Hai,
Gale Naag Vasuki Phuphakare Hai,
Mukh Mein Bhole Ke Aag Jagi Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di,
Dekhon Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥

Gaura Jaane Ye Shivji Ki Maya Hai,
Jaan Bujh Ke Aughad Ban Aaya Hai,
Shiv Ke Charnon Guhaar Lagai Hai,
Bhole Shankar Ne Maya Hatai Hai,
Saari Vipdaye Ab to Tali Hai,
Bholi Soorat Bhole Ne Bana Li,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di,
Dekhon Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥

Bramha Ji Ne to Phere Padvaye Hai,
Gaura Ko Shiv Ke Vaam Bithaye Hai,
Hui Gaura Ki Bhakton Vidai Hai,
Bhole Sang Mein Kailash Pe Aai Hai,
Gaura Maiya Kailash Chali Hai,
Chandan Phoolon Ki Varsha Kara Di,
Dekhon Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥

Dekho Shiv Ki Barat Chali Hai,
Bhole Shiv Ki Barat Chali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di,
Swarg Mein Mach Gai Khalbali Hai,
Saari Shrashti Mein Halchal Macha Di ॥
देखो शिव की बारात चली है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
देखो शिव की बारात चली है, भोले शिव की बारात चली है, सारी श्रष्टि में हलचल मचा दी, स्वर्ग में मच गई खलबली है, सारी श्रष्टि में हलचल मचा दी ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Dekho Shiv Ki Barat Chali Hai Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bade Bhag Se Fagun Aayo Ri

Bade Bhag Se Phagun Aayo Ri, Hori Khelungi Shyaam Sang Jaay

Ek Bholi Bhali Kanya

Ek Bholi Bhali Kanya, Parvat Se Bhakto Aae, Sir Pe Uske Laal Chunariya, Nainna Jot Samae, Haatho Main Hai Laal Chuda, Paao Main Payal Bhae, Sir Pe Uske Laal Chunariya, Nainna Jot Samae ॥

Meri Chunri Mein Pad Gayo Dag Ri

Meri Chunri Mein Pad Gayo Daag Ri, Kaiso Chatak Rang Daro, Shyam Meri Chunri Mein Pad Gayon Daag Ri..

Maa Ki Mahima Aprampaar

Maan Ki Mahima Aparampar, Bhagat Ke Kasht Mitati Hai..

Rang Barse Bheege Hai Brijbala Rang Barse

Rang Barse Bheege Hain Brijbala, Rang Barse , O Rang Barse Bheege Hain Brijbala, Rang Barse..