Gajanand Mehar Karo (गजानंद मैहर करो: भजन)


O Gananayak Maharaj Sumira Jodu Donon Hath,
O Gananayak Maharaj,
Sumira Jodu Donon Hath,
Gajanand Maihar Karo,
Gajanan Maihar Karo ॥
Ekdant Hai Dayavant Hai,
Chaaro Bhujao Wale,
Ekdant Hai Dayavant Hai,
Chaaro Bhujao Wale,
Lambodar Riddhi Siddhi Data,
Vighn Mitane Wale,
Lambodar Riddhi Siddhi Data,
Vighn Mitane Wale,
Laaye Modak Bhar Bhar Thaal,
Jimo Shiv Gauri Ke Laal,
Gajanan Maihar Karo,
Gajanan Maihar Karo ॥

Ganapati Bappa Moreya Mangal Moorti Moreya ॥
Adbhut Tera Roop Gajanan,
Adbhut Teri Maya,
Adbhut Tera Roop Gajanan,
Adbhut Teri Maya,
Maat Pita Ki Seva Kar,
Vardaan Anokha Paaya,
Maat Pita Ki Seva Kar,
Vardaan Anokha Paaya,
Ban Gaye Devo Mein Siramaur,
Tujh Bin Mile Na Koi Thaur,
Gajanand Maihar Karo, Gajanan Maihar Karo ॥

Ganapati Bappa Moreya Mangal Moorti Moreya ॥
Agar Kisi Ne Bhool Aapko,
Kaaraj Koi Banaya,
Agar Kisi Ne Bhool Aapko,
Kaaraj Koi Banaya,
Vighn Huye Kaaraj Sab Atke,
Koi Kaam Na Aaya,
Vighn Huye Kaaraj Sab Atke,
Koi Kaam Na Aaya,
Tumse Haar Gaya Sansar,
Teri Mahima Aprampar,
Gajanand Maihar Karo,
Gajanan Maihar Karo ॥

Ganpati Bappa Moreya Mangal Moorti Moreya ॥
Nandu Milkar Bhakt Shyam Ka,
Tumko Pratham Manaye,
Nandu Milkar Bhakt Shyam Ka,
Tumko Pratham Manaye,
Barse Rang Kripa Ka Tera,
Jab Hum Shyam Rijhaye,
Barse Rang Kripa Ka Tera,
Jab Hum Shyam Rijhaye,
Vandan Tera He Ganraaj,
Rakhna Shyam Bhakt Ki Laaj,
Gajanand Maihar Karo, Gajanan Maihar Karo ॥

O Gananayak Maharaj,
Sumira Jodu Donon Hath,
Gajanand Maihar Karo,
Gajanan Maihar Karo .
Ganapati Bappa Moreya Mangal Moorti Moreya ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
गजानंद मैहर करो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ गणनायक महाराज, सुमिरा जोडू दोनों हाथ, गजानंद मैहर करो, गजानन मैहर करो ॥
Bhajan Gajanand BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGananayak BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanLambodar BhajanVighnaharta BhajanVinayak Chaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Me Bhakto

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto, Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।

Mangal Geet: Heri Sakhi Mangal Gavo Ri..

Heri/Ori Sakhi Mangal Gaavo Ri, Dharti Ambar Sajao Ri | Chokh Puravo, Mati Rangavo, Aaj Mere Piya Ghar Aavenge