Gajmukhdhari Jisne Tera Sachche Man Se (गजमुख धारी जिसने तेरा, सच्चे मन से: भजन)


Gajmukh Dhari Jisne Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya,
Aise Pujari Ka Swayam Tumne,
Aise Pujari Ka Swayam Tumne,
Sidhd Manorath Aap Kiya,
Gajmukh Dhari Jisnen Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya ॥
Tujh Charanon Ki or Lagan Se,
Jo Sadhak Badh Jaata Hai,
Sau Qadam Tu Chalke Data,
Usko Gale Lagata Hai,
Antarman Ke Bhav Samajh Ke, 2
Kaaj Sada Chupchaap Kiya,
Gajmukh Dhari Jisnen Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

Dwar Tumhare Dradh Vishwasi,
Jab Bhi Jhuk Kar Rota Hai,
Uske Ghar Me Mangal Mahake,
Kabhi Anisht Na Hota Hai,
Uske Jeevan Se Prabhu Tumne, 2
Dur Hai Dukh Santap Kiya,
Gajmukh Dhari Jisnen Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

Aadi Anadi Jad Chetan Ye,
Sab Tere Adhikar Me Hai,
Tune Banaya Tune Rachaya,
Jo Kuchh Bhi Sansar Me Hai,
Teri Ichchha Se Hi Humne, 2
Puny Kiya Ya Paap Kiya,
Gajmukh Dhari Jisnen Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

Gajmukh Dhari Jisne Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya,
Aise Pujari Ka Swayam Tumne,
Aise Pujari Ka Swayam Tumne,
Sidhd Manorath Aap Kiya,
Gajmukh Dhari Jisnen Tera,
Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
गजमुख धारी जिसने तेरा, सच्चे मन से: भजन - हिन्दी में पढ़ें
गजमुख धारी जिसने तेरा, सच्चे मन से जाप किया, ऐसे पुजारी का स्वयं तुमने, ऐसे पुजारी का स्वयं तुमने, सिध्द मनोरथ आप किया, गजमुख धारी जिसनें तेरा, सच्चे मन से जाप किया ॥
Bhajan Sukhkarta BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanGajanan BhajanShri Ganesh Bhagwan BhajanSidhi Vinayak BhajanLambodar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥