Gaura Lalla Ko Manao to Jaane,
Ghar Inko Bulao to Jaane......
Buddhi Ke Daata Hain Ye to Prabhu,
Dete Hain Buddhi Aur Gyaan,
Inko Jo Pooje Aur Inko Bhaje,
Milta Hai Jag Mein Use Maan,
Isko Manaya to Kya Kiya,
Usko Manaya to Kya Kiya,
Gaura Lalla Ko Manaon to Jaane,
Ghar Inko Bulao to Jaane.......
Hain Devtaon Mein Sabse Bade,
Seva Mein Inaki Sabhi Hain Khade,
Hain Devtaon Mein Sabse Bade,
Seva Mein Inki Sabhi Hain Khade,
Sab Inako Pratham Poojak Maane,
Gaura Lalla Ko Manaon to Jaane,
Ghar Inako Bulao to Jaane.....
Kuchh Aur Inako Hai Bhaata Nahin,
Laddoo Aur Modak Hain Bhaate Inhen,
Mata Manaye to Maane Nahin,
Khush Hon Jo Modak Khilaye Inhen,
Meva Khilao to Maane Nahin,
Mishri Khilao to Maane Nahin,
Bhakti Bharat Bhajan Bhog Laddoo Ka Lagao to Maane,
Gaura Lalla Ko Manaon to Jaane,
Ghar Inako Bulao to Jaane......
Hai Vighnaharta Vinayak Bhi Ye,
Kashton Mein Hote Sahayak Bhi Ye,
Poojo Agar Sachche Man Se Inhen,
Hain Laabh Aur Shubh Ke Dayak Bhi Ye,
Hain Riddhi Siddhi Ke Data Yahi,
Hain Dhan Aur Daulat Ke Daata Yahi,
Inaki Bhakti Ko Pao to Jaane,
Gaura Lalla Ko Manaon to Jaane,
Ghar Inako Bulao to Jaane.........