Gauri Ke Lala Ho Mere Ghar Aa Jana (गौरी के लाला हो, मेरे घर आ जाना: भजन)


Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana,
Ghar Aangan Ki O Deva,
Sobha Badha Jana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥
Bhaado Maas Aaya Hai,
Sang Mein Khushiyan Laya Hai,
Bade Jatano Se Hai Mainne,
Ghar Ko Apne Sajaya Hai,
Tune Wada Kiya Tha Mujhse,
Wada Niva Jana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Chandan Chauki Sajaun,
Uape Tujhko Bithaun,
Paan Phool Chadhake,
Modak Bhog Lagaun,
Bade Prem Se Banaye Hai,
Ye Ladavan kha Jana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Roj Kirtan Gajanan Karun,
Tere Bhakti Mein Dhyan Dharun,
Puri Shraddha Se Hai Mere Deva,
Nish Din Main Tera Poojan Karun,
Akele Na Aana Prabhu,
Riddhi Siddhi Sang Lana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Jape Tera Jo Naam Prabhu,
Karte Tumko Pranam Prabhu,
Unke Vighn Aur Badha Tale,
Bante Bigde Kaam Prabhu,
Aas Mainne Lagae Hai Jo,
Usako Puga Jaana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥

Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana,
Ghar Aangan Ki O Deva,
Sobha Badha Jana,
Gauri Ke Lala Ho,
Mere Ghar Aa Jana ॥
गौरी के लाला हो, मेरे घर आ जाना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी के लाला हो, मेरे घर आ जाना, घर आँगन की ओ देवा, शोभा बढ़ा जाना, गौरी के लाला हों, मेरे घर आ जाना ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥

Mano Toh Main Ganga Maa Hun

Mano to Main Ganga Maa Hun, Na Mano to Bahata Pani, Jo Swarg Ne Di Dharti Ko, Mein Hun Pyar Ki Vahi Nishani