Gauri Ke Nanda Gajanand Gauri Ke Nanda (गौरी के नंदा गजानन, गौरी के नन्दा - भजन)


॥ Shlok ॥
Gajanand Anand Karo,
Do Sukh Sampati Mein Shish,
Dushman Ko Sajjan Karo,
Nivat Jimava Kheer ।
Sada Bhavani Dahini,
Sanmukh Rahat Ganesh,
Panch Dev Raksha Kare,
Bramha Vishnu Mahesh ।

Vighn Haran Mangal Karan,
Gananayak Ganaraj,
Riddhi Siddhi Sahit Padharajo,
Mhaara Puran Kar Jo Kaj ॥

॥ Bhajan ॥
Gauri Ke Nanda Gajanan,
Gauri Ke Nanda,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥

Pita Tumhare Hai Shiv Shankar,
Mastak Par Chanda,
Mata Tumhari Parvati,
Dhyave Jagat Banda,
Mhara Vighn Haro Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥

Musak Vahan Dund Dundala,
Pharasa Hath Lenada,
Gal Vaijanti Maal Viraje,
Chadhe Pushp Gandha,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥

Jo Nar Tumko Nahin Sumrata,
Uska Bhagya Manda,
Jo Nar Thari Kare Sevana,
Chale Rijak Dhandha,
Mhaara Vighn Haro Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥

Vighn Haran Mangal Karan,
Vidya Var Denada,
Kahata Kalloo Ram Bhajan Se,
Kate Paap Phanda,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥

Gauri Ke Nanda Gajanan,
Gauri Ke Nanda ,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
गौरी के नंदा गजानन, गौरी के नन्दा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी के नंदा गजानन, गौरी के नन्दा, म्हने बुद्धि दीजो गणराज गजानन, गौरी के नन्दा ॥
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanWednesday BhajanGrah Pravesh BhajanChaturthi BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturdasi BhajanGanesh Message BhajanQuotes BhajanWensday Quotes Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jjhulan Chalo Hindolana Vrashbhanu Nandni

Jhulan Chalo Hidolana, Vrshbhan Nandni । Savan Ki Teej Aai, Navghor Ghata Chhai

Jhula Padyo Hai Kadamb Ki Daar

Jhoola Padyo Hai Kadamb Ki Daar, Jhulave Braj Nari, Braj Nari Re Braj Nari, Braj Nari Sakhiyan Sari..

Karunamayi Kripamayi Meri Dayamayi Radhe

Karunamayi Kirpamayi, Meri Dayamayi Radhe ॥

Vrindavan Ke O Banke Bihari

Hum Tumhare Paraye Nahi Hai, Gair Ke Dar Pe Aaye Nahin Hai, Hum Tumhare Purane Pujari, Hum Tumhare Purane Pujari, Hamse Parda Karo Na Murari, Vrindavan Ke O Banke Bihari ॥

Aai Bhagon Me Bahar Jhula Jhule Radha Rani

Aai Baagon Mein Bahar, Jhoola Jhoole Radha Pyari । Jhoole Radha Pyari, Haan Jhoole Radha Pyari ॥