Gauri Sut Shankar Lal (गौरी सूत शंकर लाल - भजन)


Gauri Sut Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno,
Baitha Bhagvat Maha Pooran,
Vinayak Meri Araj Suno,
Gauri Sut Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno ॥
Sab Devan Me Aap Bade Ho,
Tumko Pratham Manave,
Ghar Me Ganpati Sada Biraje,
Karaj Shubh Karave,
Sang Riddhi Siddhi,
Sang Riddhi Siddhi Aao Aaj,
Vinayak Meri Araj Suno,
Gauri Sut Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno ॥

Meva Phal Modak Aur Laddu,
Jinko Bhog Lagave,
Sakhi Saheli Mil Karke
Sab Mangal Aarti Gaave,
Dev Milkar,
Dev Milkar Chavar Dulave,
Vinayak Meri Araj Suno,
Gauri Sut Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno ॥

Brahma Vishnu Shankar Bhi Hai,
Jinke Gun Ko Gaate,
Mahima Ka Varnan to,
Devi Dev Muni Na Paate,
Sab Milkar,
Sab Milkar Sheesh Jhukave
Vinayak Meri Araj Suno,
Gauri Sut Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno ॥

Gauri Soot Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno,
Baitha Bhagvat Maha Pooran,
Vinayak Meri Araj Suno,
Gauri Soot Shankar Laal,
Vinayak Meri Araj Suno ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
गौरी सूत शंकर लाल - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी सूत शंकर लाल, विनायक मेरी अरज सुनो, बैठा भागवत महा पूराण, विनायक मेरी अरज सुनो, गौरी सूत शंकर लाल, विनायक मेरी अरज सुनो ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanGanesh Visarjan BhajanAnant Chaturdashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥