Ghanshyam Tumhare Mandir Mein (घनश्याम तुम्हारे मंदिर में - भजन)


Ghanshyam Tumhare Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon,
Vaani Mein Tanik Mithas Nahin,
Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥
Main Dekhoon Apne Karmo Ko,
Phir Daya Ko Teri Karuna Ko,
Thukrai Huyi Main Duniya Se,
Tera Dar Khatkane Aayi Hoon,
Ghanshyam Tumharen Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon ॥

Prabhu Ka Charnamrit Lene Ko,
Hai Paas Mere Koi Paatr Nahin,
Aankhon Ke Donon Pyalon Mein,
Main Bheekh Maangne Aayi Hoon,
Ghanshyam Tumharen Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon ॥

Teri Aas Hai Shyam Nivanianu,
Teri Shaan Hai Bigdi Bana Dena,
Tum Swami Ho Main Daasi Hoon,
Sambandh Badhane Aayi Hoon,
Ghanshyam Tumharen Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon ॥

Samjhi Thi Main Jinhen Apna,
Sab Ho Gaye Aaj Begane Hai,
Saari Duniya Ko Taj Ke Prabhu,
Tujhe Apna Banane Aayi Hoon,
Ghanshyam Tumharen Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon ॥

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein,
Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon,
Vaani Mein Tanik Mithas Nahin,
Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥
घनश्याम तुम्हारे मंदिर में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
घनश्याम तुम्हारे मंदिर में, मैं तुम्हे रिझाने आई हूँ, वाणी में तनिक मिठास नहीं, पर विनय सुनाने आई हूँ ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥