Haar Gya Hu Baba Ab To Aake Tham Re (हार गया हूँ बाबा, अब तो आके थाम रे: भजन)


Haar Gaya Hoon Baba,
Ab to Aake Thaam Re,
Sun Sanware Haare Ka Sahara,
Tera Naam Re ॥
Dardi Ke Tune Baba,
Dard Mitaye,
Dukhde Ginaoon Kitne,
Jaye Na Ginayen,
Mainne Suna Hai Dar Pe,
Mainne Suna Hai Dar Pe,
Bante Bigde Kaam Re,
Sun Sanware Haare Ka Sahara,
Tera Naam Re ॥

Kaahe Kare Tu Aise,
Aankh Micholi,
Halat Pe Duniya Wale,
Karte Hai Thitholi,
Le Lo Sharan Mein Apni,
Le Lo Sharan Mein Apni,
Aaya Tere Dhaam Re,
Sun Sanware Haare Ka Sahara,
Tera Naam Re ॥

Rota Jo Aaya Usko,
Pal Mein Hansaya,
‘harsh’ Deewane Ko Kyon,
Tune Bisraya,
Teri Daya Se Hoga,
Teri Daya Se Hoga,
Ab to Aaram Re,
Sun Sanware Haare Ka Sahara,
Tera Naam Re ॥

Haar Gaya Hoon Baba,
Ab to Aake Thaam Re,
Sun Sanware Haare Ka Sahara,
Tera Naam Re ॥
हार गया हूँ बाबा, अब तो आके थाम रे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हार गया हूँ बाबा, अब तो आके थाम रे, सुन सांवरे हारे का सहारा, तेरा नाम रे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Bigdi Kismat Ko Banana Shiv Bhole Ka Kaam Hai

Bigdi Kismat Ko Banana, Shiv Bhole Ka Kaam Hai, Rote Ko Palme Hasaye, Shiv Bhole Ka Kaam Hai,
Bigdi Kismat Ko Banana, Shiv Bhole Ka Kaam Hai, Rote Ko Palme Hasaye, Shiv Bhole Ka Kaam Hai ॥

Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala

Gaura Rani Ne Japi Aisi Mala, Mila Hai dekho Damru Wala ॥

Mere Baba Mere Mahakal

Devon Ke Mahadev Hai Kalon Ke Ye Kaal, Duniya Ki Buri Najaron Se Rakhate Mera Khyal, Duniya Ki Buri Najaron Se Rakhate Mera Khyal, Mere Baba Mere Bhole, Mere Mahakal ॥

Mere Bhole Baba Ki Nagariya Me

Tere Didar Ho Bhole, Tarse Meri Ankhiya, De Darshan Is Dash Ko, Jo Aun Teri Duariya ॥