Haare Ka Sahara Mera Shyam (हार के आया मैं जग सारा)


Haar Ke Aaya Main Jag Saara,
Teri Chaukhat Par,
Tumse Hi Hai Saari Ummiden,
Tum Hi Loge Khabar,
Sab Kehte Hai Apne Bhagat Ki,
Shyam Hamesha Pat Rakhta Hai,
Haare Ka Sahara Mera Shyam,
Hamesha Meri Laaj Rakhta Hai ॥
Jag Se Rishta Tod Diya Hai,
Tujhse Nata Jod Liya Hai,
Tujhko Hi Mana Sathi Apna,
Tujhpe Hi Sabkuch Chhod Diya Hai,
Teri Daya Se Mera Deepak,
Toofanon Mein Bhi Jalta Hai,
Haaren Ka Sahara Mera Shyam,
Hamesha Meri Laaj Rakhta Hai ॥

Kalyug Ki Sarkar Tu Hi Hai,
Jeevan Ka Aadhar Tu Hi Hai,
Kyon Bhatkoon Main Dar Dar Jaakar,
Shyam Mera Sansar Tu Hi Hai,
Teri Kripa Ka Hath Hai Jabse,
Har Sankat Khud Hi Talta Hai,
Haaren Ka Sahara Mera Shyam,
Hamesha Meri Laaj Rakhta Hai ॥

Haar Ke Aaya Main Jag Saara,
Teri Chaukhat Par,
Tumse Hi Hai Saari Ummiden,
Tum Hi Loge Khabar,
Sab Kahate Hai Apne Bhagat Ki,
Shyam Hamesha Pat Rakhta Hai,
Haare Ka Sahara Mera Shyam,
Hamesha Meri Laaj Rakhta Hai ॥
हार के आया मैं जग सारा - हिन्दी में पढ़ें
हार के आया मैं जग सारा, तेरी चौखट पर, तुमसे ही है सारी उम्मीदें, तुम ही लोगे खबर, सब कहते है अपने भगत की, श्याम हमेशा पत रखता है, हारे का सहारा मेरा श्याम, हमेशा मेरी लाज रखता है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Kabhi Ram Banake Kabhi Shyam Banake

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..