Hamare Sath Shri Mahakal To Kis Baat Ki Chinta (हमारे साथ श्री महाकाल, तो किस बात की चिंता - भजन)


Karta Kare Na Kar Sake,
Shiv Kare So Hoy,
Teen Lok Nau-khand Mein,
Shiv Se Bada Na Koy ॥
Hamare Sath Shri Mahakal,
To Kis Baat Ki Chinta,
Sharan Mein Rakh Diya Jab Maath,
To Kis Baat Ki Chinta,
Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta ॥

Lagai Hai Lagan Shiv Se,
Nahin Phir Jag Se Moh Maya,
Mere Sang Sang Mein Rahti Hai,
Mere Mahakal Ki Chhaya,
Ki Banati Hai Vahaan Har Baat,
To Kis Baat Ki Chinta,
Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta ॥

Mere Mahakal Ke Dar Pe,
Sanvar Jati Hai Takdire,
Prabhu Ka Naam Lete Hi,
Badal Jati Hai Taasiren,
Mere Mahakal Rakhte Hai,
Har Ek Ke Kaam Ki Chinta,
Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta ॥

Laga Le Tu Lagan Shiv Se,
Ke Ho Ja Jag Se Begana,
Mukkadar Apna Banava Le,
Ban Mahakal Deewana,
Ke Har Lenge Mere Swami,
Tere Har Kaal Ki Chinta,
Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta ॥

Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta,
Sharan Mein Rakh Diya Jab Maath,
To Kis Baat Ki Chinta,
Hamare Sath Shri Mahankal,
To Kis Baat Ki Chinta ॥
हमारे साथ श्री महाकाल, तो किस बात की चिंता - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हमारे साथ श्री महाकाल, तो किस बात की चिंता, शरण में रख दिया जब माथ, तो किस बात की चिंता...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanShivaratri BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSawan Somvar BhajanShiv Terash BhajanJyotirling BhajanKanwar BhajanKanwar Yatra BhajanKanwariya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye