Hanuman Ji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo (हनुमानजी कभी मेरे घर भी पधारो: भजन)


Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo,
Biddhi Vivek Ki Varish Karke,
Biddhi Vivek Ki Varish Karke,
Mera Bhi Jeevan Taro,
Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo ॥
Tum Balsali Ho Granth Ki Gyata,
Tum Bin Koi Bhi Paar Na Pata,
Teri Mahima Gaake Hanumat,
Teri Mahima Gaake Hanumat,
Tar Gaye Lakho Hajaro,
Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo ॥

Sadar Seva Ki Bhaav Jagi Hai,
Tere Darash Ki Aas Lage Hai,
Ham Hai Tumhare Bhakt Vo Hanumat,
Ham Hai Tumhare Bhakt Vo Hanumat,
Aise Na Hamako Bisaaro,
Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo ॥

Bhakt Paradesi Ke Tum Hitakari,
Gave ‘Niranjan’ Mahima Tumhari,
Jeevan Naiya Bich Bhanvar Mein,
Jeevan Naiya Bich Bhanvar Mein,
Aake Paar Utaaro,
Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo ॥

Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo,
Biddhi Vivek Ki Varish Karke,
Biddhi Vivek Ki Varish Karke,
Mera Bhi Jeevan Taro,
Hanumanji Kabhi Mere Ghar Bhi Padharo ॥
हनुमानजी कभी मेरे घर भी पधारो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हनुमानजी कभी मेरे घर भी पधारो, बुद्धि विवेक की बारिश करके, बुद्धि विवेक की बारिश करके, मेरा भी जीवन तारो, हनुमानजी कभी मेरे घर भी पधारों ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥