Har Kadam Pe Tumhe Hoga Aabhash Saware Ka (हर कदम पे तुम्हे होगा आभास सांवरे का - भजन)


Har Kadam Pe Tumhe Hoga,
Aabhaas Sanware Ka,
Chaahe Kuch Bhi Ho Na Dagmag Ho,
Vishwas Sanware Ka,
Har Kadam Pe Tumhen Hoga,
Aabhas Sanware Ka ॥
Duniya Se Aankhen Band Karke,
Man Ki Aankhon Ko Khol Zara,
Bematlab Ki Baatein Chhodo,
Jai Baba Ki Tu Bol Zara,
Dil Ke Andar Tumhe Hoga,
Ehsas Sanware Ka,
Har Kadam Pe Tumhen Hoga,
Aabhas Sanware Ka ॥

Chalkar Ke Dekho Tum Ek Baar,
Mere Sanwaliye Ki Rahon Mein,
Girne Ke Pahale Thamega,
Ye Aakar Apni Baanhon Mein,
Tere Man Mein Hi Milega,
Tumhe Vaas Sanware Ka,
Har Kadam Pe Tumhen Hoga,
Aabhas Sanware Ka ॥

‘Sooraj’ Kuch Aisa Kaam Karo,
Sanwariya Ho Tumse Raaji,
Hare Ko Jo Apnaoge,
Jeetoge Phir Tum Har Baazi,
Ban Jayega Phir Tu,
Bada Khaas Sanware Ka,
Har Kadam Pe Tumhen Hoga,
Aabhas Sanware Ka ॥

Har Kadam Pe Tumhe Hoga,
Aabhas Sanware Ka,
Chahe Kuchh Bhi Ho Na Dagmag Ho,
Vishwas Sanware Ka,
Har Kadam Pe Tumhen Hoga,
Aabhas Sanware Ka ॥
हर कदम पे तुम्हे होगा आभास सांवरे का - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हर कदम पे तुम्हे होगा, आभास सांवरे का, चाहे कुछ भी हो ना डगमग हो, विश्वास सांवरे का, हर कदम पे तुम्हें होगा, आभास सांवरे का ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tuti Jhupdiya Meri Maa Garib Ghar Aajana

Tuti Jhupdiya Meri Maan, Garib Ghar Aa Jana । Bade Bade Log Maiya Jagran Karaye

Hey Muralidhar Chhaliya Mohan

Hey Murlidhar Chhaliya Mohan, Hum Bhi Tumko Dil De Baithe, Gam Pahle Se Hi Kam to Na the

Ram Ji Se Puche Janakpur Ki Nari

Ram Ji Se Puchhe Janakpur Ki Nari, Bata Da Babua Logva Det Kahe Gaari, Bata Da Babua ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..