Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara! (हरि का भजन करो, हरि है तुम्हारा!)


Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara,
Hari Ke Bhajan Bin,
Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥
Hari Naam Se Tera Kaam Banega,
Hari Naam Hi Tere Sath Chalega,
Hari Naam Lene Vala,
Hari Naam Lene Vala, Hari Ka Hai Pyara,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥

Koi Kahe Radhe-shyam,
Koi Kahe Sita-ram,
Koi Giridhar Gopal,
Koi Radha-madhav Naam,
Vo Hi Hari Deen Bandhoo,
Vo Hi Hari Karuna Sindhu,
Namo Barambar,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥

Sukh Duhkh Bhoge Jao,
Lekha Sab Mitate Jao,
Hari Gun Gate Jao,
Hari Ko Rijhate Jao,
Vo Hi Hari Deen-bandhoo,
Vo Hi Haree Karuna-sindhu,
Sabaka Hai Pyara,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥

Deeno Par Daya Karo,
Bane to Seva Bhi Karo,
Moh Sab Door Karo,
Prem Hari Se Karo,
Ye Hi Bhakti Ye Hi Yog,
Ye Hi Gyan Sara,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥

Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara,
Hari Ke Bhajan Bin,
Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara,
Hari Ka Bhajan Karo,
Hari Hai Tumhara ॥
हरि का भजन करो, हरि है तुम्हारा! - हिन्दी में पढ़ें
हरि का भजन करो, हरि है तुम्हारा, हरि के भजन बिन, हरि के भजन बिन, नहीं गुजारा...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..