Hey Banke Bihari Girdhari Ho Pyar Tumhare Charno Mein (हे बांके बिहारी गिरधारी हो प्यार तुम्हारे चरणों में - भजन)


Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Natwar Madhusudan Banwari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥
Main Jag Se Ub Chuka Mohan,
Sab Jag Ko Parakh Chuka Sohan,
Ab Sharan Tihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Papi Ya Japi Nar-nari,
In Charanon Se Jinki Yari,
Unke Hari Ho Tum Bhayhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Bhai Sut Daar Kutumbi Jan,
Main Mere Ke Sigre Bandhan,
Sab Swarath Ke Sansari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Nakh Kund Kanti Kastoori Sam,
Charchit Chandan Arpit Mam Man,
Tere Charanon Ki Balihari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Main Sukh Mein Rahoon Chaahe Duhkh Mein Rahoon,
Kanton Mein Rahoon Phoolo Mein Rahoon,
Van Mein Ghar Mein Jahan Bhi Rahoon,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Man Ke Mandir Mein Aao Tum,
Nas Nas Mein Shyam Samao Tum,
Tumhare Hain Ham Hamare Ho Tum,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Iss Jeevan Ke Tum Jeevan Ho,
He Shyam Tumhi Mere Dhan Ho,
Sukh Shanti Mool Tap Chintan Ho,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Natwar Madhusudan Banwari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein,
Hey Banke Bihari Girdhari,
Ho Pyar Tumhare Charanon Mein ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
हे बांके बिहारी गिरधारी हो प्यार तुम्हारे चरणों में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे बांके बिहारी गिरधारी, हो प्यार तुम्हारे चरणों में, नटवर मधुसुदन बनवारी, हो प्यार तुम्हारे चरणों में...
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Tere Dar Di Paudiyan Maa

Is Baar Navrate Maan, Tere Dar Te Manavange, Teri Dar Di Paudiyan Maa Aisi Chumde Aavange...