Hey Gaura Ke Lal Meri Suniye Tera Bhakt Khada Tere Dwar Hai (हे गौरा के लाल मेरी सुनिए, तेरा भक्त खड़ा तेरे द्वार है - भजन)


Hey Gaura Ke Lal Meri Suniye,
Tera Bhakt Khada Tere Dwar Hai,
Kae Janmon Se Bappa Main Bhataka,
Tere Charanon Mein Ab Mera Sansar Hai,
Hey Gaura Ke Laal Meri Suniye ॥
Is Jag Mein Main Aake Hoon Bhataka,
Chain Kahi Na Paya Hai,
Jabse Aaya Main Tere Dar Pe,
Dil Ko Sukun Ab Aya Hai,
Moh Maya Ye Duniya Hai Sari,
Aur Matti Ye Dhan Ambar Hai,
Kae Janmon Se Bappa Main Bhataka,
Tere Charanon Mein Ab Mera Sansar Hai,
Hey Gaura Ke Laal Meri Suniye ॥

Sukh Ke Hai sab Sangi Saathi,
Duhkh Mein Kaam Na Aaenge,
Jhuthe Rishte Nate Hai Sare,
Ye Kya Saath Nibhaenge,
Tera Naam Hai Sabse Pavan,
Tera Naam Hi Jag Aadhaar Hai,
Kae Janmon Se Bappa Main Bhataka,
Tere Charanon Mein Ab Mera Sansar Hai,
Hey Gaura Ke Laal Meri Suniye ॥

Maa Gaura Ke Laal Tu Sunale,
Main Phariyadi Aaya Hoon,
Teri Shradha Teri Bhakti,
Karane Ko Mandir Aaya Hoon,
Jo Bhi Gaura Ke Laal Ko Dhyaye,
Vo Hi Jata To Bhav Se Paar Hai,
Kae Janmon Se Bappa Main Bhataka,
Tere Charanon Mein Ab Mera Sansar Hai,
Hey Gaura Ke Laal Meri Suniye ॥

Hey Gaura Ke Lal Meri Suniye,
Tera Bhakt Khada Tere Dwar Hai,
Kae Janmon Se Bappa Main Bhataka,
Tere Charanon Mein Ab Mera Sansar Hai,
Hey Gaura Ke Laal Meri Suniye ॥
हे गौरा के लाल मेरी सुनिए, तेरा भक्त खड़ा तेरे द्वार है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे गौरा के लाल मेरी सुनिए, तेरा भक्त खड़ा तेरे द्वार है, कई जन्मों से बप्पा मैं भटका, तेरे चरणों में अब मेरा संसार है, हे गौरा के लाल मेरी सुनिये ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi, Sakal Vighan Kar Door Hamare, Pratham Dhare Jo Dhyan Tumharo..

Gauri Ganesh Manau Aaj Sudh Lije Hamari

Gauri Ganesh Manaon, Aaj Sudh Leeje Hamaari । Surahin Gaiya Ko Gobar Managaun, Dig Dhar Agana Leepaon..

Sun Radhika Dulari Main

Sun Radhika Dulari Mein, Hoon Dwar Ka Bhikhari, Tere Shyam Ka Pujari..

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati, Aapki Meharbani Humen Chahiye, Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka, Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye, Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman, Kare Pooja Tumhari Sab Hoke Magan, Shiv Gaura Ke Laal Ko Dhyate Hai Hum, Hey Ganpati Tumko Manate Hai Hum, Ganpati Karate Charano Mein Hum Hai naman,
Kare Pooja Tumhari Sab Ho Ke Magan ॥