Hey Karuna Mayi Radhe Mujhe Bas Tera Sahara Hai (हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है - भजन)


Hai Karuna Mayi Radhe,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai,
Apna Lo Mujhe Shyama,
Tere Bin Kaun Hamara Hai,
Tere Bin Kaun Hamara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhe,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥
Koi Kisi Ka Nahin Jahan Mein,
Jhoothi Jag Ki Aas,
Jhoothi Jag Ki Aas,
Hum Bebas Lacharon Ki Shyama,
Tum Se Yahi Abhilash,
Tum Se Yahi Abhilash,
Dinon Pe Krpa Karna,
Yahi Swabhav Tumhara Hai,
Yahi Swabhav Tumhara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Gahari Nadiya Nanv Purani,
Dagmag Dole Naiya,
Dagmag Dole Naiya,
Bich Bhawar Mein Aan Phasa Hoon,
Pakdo Meri Bahiyan,
Pakdo Meri Bahiyan,
Kahin Doob Na Jaoon Main,
Kishori Door Kinara Hai,
Kishori Door Kinara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Tere Dar Pe Jo Bhi Aae,
Unko Tum Apnati,
Unko Tum Apnati,
Gardish Ke Maro Ki Shyama,
Bigdi Baat Banati,
Bigdi Baat Banati,
Ham Jaise Adhmo Ka,
Jeevan Tumne Hi Savara Hai,
Jeevan Tumne Hi Savara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

Chitr Vichitr Apne Karmo Se,
Mann Hi Mann Ghabrae,
Mann Hi Mann Ghabrae,
Teri Krpa Ka Le Ke Sahara,
Dwar Tumhare Aae,
Dwar Tumhare Aae,
Tere Dar Ke Siva Mera,
Kahin Nahin Aur Gujara Hai,
Kahin Nahin Aur Gujara Hai,
Hai Karuna Mayi Radhen,
Mujhe Bas Tera Sahara Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे करुणा मयी राधे, मुझे बस तेरा सहारा है, अपना लो मुझे श्यामा...
Bhajan Radhashtami BhajanShri Radha Rani BhajanBrij BhajanChitra Vichitra BhajanJanmashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radhe Pooch Rahi Tulsa Se

Radhe Puchh Rahi Tulsa Se, Tulsa Kahan Tera Sasural । Kahan Tera Sasural Tulsa, Kaun Tere Bhartaar ।

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan

Main Nahin, Mera Nahin, Yah Tan Kisi Ka Hai Diya । Jo Bhi Apne Paas Hai..

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare | Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..