Hey Shiv Shankar Bhole Baba, Main Tere Gun Gaoon (हे शिव शंकर भोले बाबा, मैं तेरे गुण गाऊं - भजन)


Hey Shiv Shankar Bhole Baba,
Main Tere Gun Gaoon,
Aisa Var De in Charanon Mein,
Aisa Var De in Charanon Mein,
Sagre Janam Bitaoon,
Hey Shiv Shankar Bholen Baba,
Main Tere Gun Gaoon ॥
Sohan Kahake Main Janmi Thi,
Tune Shivam Bataya,
Dhanay Bhaya Ye Jeevan Mera,
Sara Bharam Mitaya,
Kirpa Kar Tu Kar De Mujhpe,
Kirpa Kar Tu Kar De Mujhpe,
Bhav Sagar Tar Jaoon,
Hey Shiv Shankar Bholen Baba,
Main Tere Gun Gaoon ॥

Dwandv Dwesh Sab Mit Gaye Mere,
Dwar Pe Aake Tere,
Janm Janm Ki Dhundh Chhati Hai,
Paap Kate Hai Mere,
Kuch Aisa Kar De Hey Bhole,
Kuch Aisa Kar De Hey Bhole,
Param Shanti Main Paoon,
Hey Shiv Shankar Bholen Baba,
Main Tere Gun Gaoon ॥

Sada Mangti Rahi Main Tujhse,
Rini Rahi Main Teri,
Dayanidhi Kalyan Karo Ab,
Sun Lo Vinti Meri,
Mere Sar Pe Rin Hai Tera,
Mere Sar Pe Rin Hai Tera,
Kaise Use Chukaoon,
Hey Shiv Shankar Bholen Baba,
Main Tere Gun Gaoon ॥

Hey Shiv Shankar Bhole Baba,
Main Tere Gun Gaoon,
Aisa Var De in Charanon Mein,
Aisa Var De in Charanon Mein,
Sagre Janam Bitaoon,
Hey Shiv Shankar Bholen Baba,
Main Tere Gun Gaoon ॥
हे शिव शंकर भोले बाबा, मैं तेरे गुण गाऊं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे शिव शंकर भोले बाबा, मैं तेरे गुण गाऊं, ऐसा वर दे इन चरणों में, ऐसा वर दे इन चरणों में, सगरे जनम बिताऊं ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanShivratri BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSawan Somvar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye