Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai,
Hote Hai Hum Maayus Kabhi,
Ye Morchhadi Laharata Hai,
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥
Ye Maat Pita Ye Bandhu Sakha,
Ye Apna Paalanhaara Hai,
Hum Sab to Isko Pyaare Hai,
Ye Humko Jaan Se Pyaara Hai,
Hum Sabko Bulakar Khaatu Mein,
Ye Apna Pyaar Lutata Hai,
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥
Ho Raahe Kitni Kathin Meri,
Dikhti Na Ho Humko Manjil,
Man Haara Ho Jab Bhi Apna,
Ek Kadam Bhi Chalna Ho Mushkil,
Ye Hath Pakadkar Bachcho Ka,
Unhen Manjil Tak Pahunchata Hai,
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥
Jab Chain Na Ho Baichen Ho Dil,
Neende Apani Ud Jaati Hai,
Aise Mein Ro Ro Kar Humko,
Jab Shyam Ki Yaad Satati Hai,
Jhat Aakar Ke Sar Pe Mere,
Ye Apna Haath Phirata Hai,
Hum Ladle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥
Hum Galti Pe Galti Karte Hai,
Phir Bhi Ye Humse Pyaar Kare,
Hum Nalayak Bachcho Se Sada,
Maat Pita Sa Vyavhar Kare,
Ye Kaan Pakad Kar ‘Romi’ Ke,
Har Galti Pe Samjhata Hai,
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai,
Hote Hai Hum Maayus Kabhi,
Ye Morchhadi Laharata Hai,
Hum Laadle Khatu Wale Ke,
Humen Baba Laad Ladata Hai ॥