Hum Sharan Teri Aaye Hai Jhukane Ko Ye Sar (हम शरण तेरी आए है झुकाने को ये सर - भजन)


Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar,
Kar Do Uddhar Prabhu Mera,
Daal Ke Ik Najar,
Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar ॥
Ik Najar Teri Khilati Hai,
Jindagi Ki Kali,
Teri Najron Se Hi Hoti Hai,
Roshan Har Gali,
Mujhko Ye Aas Hai,
Mujhpe Bhi Hogi Teri Mehar,
Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar ॥

Haarne Walon Ko Bas Ek,
Thikana Hai Tera,
Jisko Bas Ek Sahara Hai,
Prabhu Ek Tera,
Uspe Pad Jati Hai,
Baba Teri Deedare Najar,
Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar ॥

Galti Jo Bhi Kari Hai Mainne,
Use Manta Hoon,
Tere Darbaar Ke Baare Mein,
Thoda Jaanta Hoon,
Thaam Lo Hath Prabhu Mera,
Le Lo Meri Khabar,
Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar ॥

Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar,
Kar Do Uddhar Prabhu Mera,
Daal Ke Ik Najar,
Hum Sharan Teri Aaye Hai,
Jhukane Ko Ye Sar ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
हम शरण तेरी आए है झुकाने को ये सर - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हम शरण तेरी आए है, झुकाने को ये सर, कर दो उद्धार प्रभु मेरा, डाल के इक नजर, हम शरण तेरी आये है, झुकाने को ये सर ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥