Itna to Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle (इतना तो करना स्वामी, जब प्राण तन से निकले - भजन)


Itna to Karna Swami Jab Pran,
Jab Pran Tan Se Nikle
Govind Naam Lekar,
Phir Pran Tan Se Nikle ॥
Shri Ganga Ji Ka Tat Ho,
Yamuna Ka Vanshivat Ho,
Mera Sanwara Nikat Ho,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Pitambari Kasi Ho,
Chhavi Man Mein Yah Basi Ho,
Hothon Pe Kuchh Hasi Ho,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Shri Vrindavan Ka Sthal Ho,
Mere Mukh Mein Tulasi Dal Ho,
Vishnu Charan Ka Jal Ho,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Jab Kanth Pran Aave,
Koi Rog Na Satave,
Yam Darshan Dikhave,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Us Waqt Jaldi Aana
Nahin Shyaam Bhool Jaana
Radha Ko Sath Laana
Jab Pran Tan Se Nikle
Itana Ton Karana Svaami Jab Praan ॥

Sudhi Hove Naahi Tan Ki,
Taiyaari Ho Gaman Ki,
Lakdi Ho Braj Ke Van Ki,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Ek Bhakt Ki Hai Arji,
Khudgarz Ki Hai Garji,
Aage Tumhari Marzi,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran ॥

Ye Nek Si Araj Hai,
Maano to Kya Haraj Hai,
Kuchh Aap Ka Pharaj Hai,
Jab Pran Tan Se Nikle,
Itna to Karna Swami Jab Pran Jab Pran ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
इतना तो करना स्वामी, जब प्राण तन से निकले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
इतना तो करना स्वामी, जब प्राण तन से निकले गोविन्द नाम लेकर, फिर प्राण तन से निकले ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥