Jab Bhakt Bulate Hain Hari Daud Ke Aate Hain (जब भक्त बुलाते हैँ हरि दौड़ के आते हैँ - भजन)


Jab Bhakt Bulate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn ॥
Vo to Deen Aur Dukheeon Ko ॥
Aa Ke Gale Lagate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn,
Jab Bhakt Bulate Hainn...
Dropadi Ne Jab, Unhen Pukara, Daude Daude Aa Gaye .
Bhari Sabha Men, Cheer Badha Ke, Uski Laaj Bacha Gaye ॥
Vo Bahut Dayalu Hainn, Woh Daya Ke Sagar Hainn,
Vo Cheer Badhate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn,
Jab Bhakt Bulate Hainn...

Arjun Ne Jab, Unhen Pukara, Sarthi Banke Aa Gaye .
Geeta Ka, Updesh Suna Ke, Uska Bharam Mita Gaye ॥
Vo Gyan Sikhate Hainn, Woh Bharam Mitate Hainn,
Vo Gale Lagate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn,
Jab Bhakt Bulate Hainn...

Dhanne Ne Jab, Unhen Pukara, Thakur Banke Aa Gaye .
Pattharon Men, Darsh Dikha Ke, Prem Ka Bhog Laga Gaye ॥
Vo Darsh Dikhate Hainn, Woh Hal Chalate Hainn,
Vo Maan Badhate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn,
Jab Bhakt Bulate Hainn...

Mitra Suddama, Dware Aaye, Daude Daude Aa Gaye .
Do Muthi, Sattu Ke Badle, Uska Mahal Bana Gaye ॥
Vo Farz Nibhate Hainn, Woh Gale Lagate Hainn,
Vo Mahal Banate Hainn, Hari Daud Ke Aate Hainn,
Jab Bhakt Bulate Hainn...
जब भक्त बुलाते हैँ हरि दौड़ के आते हैँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जब भक्त बुलाते हैँ, हरि दौड़ के आते हैँ ॥ वो तो दीन और दुःखीओं को ॥ आ के गले लगाते हैँ, हरि दौड़ के आते हैँ, जब भक्त बुलाते हैँ...
Bhajan Hari BhajanShri Hari BhajanNarayan Jaap BhajanShri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥