Jagdambe Bhawani Maiya Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Haii ( जगदम्बे भवानी मैया, तेरा त्रिभुवन में छाया राज है: भजन)


Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai,
Sohe Vesh Kasumal Niko,
Tere Ratnon Ka Sir Pe Taaj Hai,
Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai ॥
Jab Jab Bhid Padi Bhaktan Par,
Tab Tab Aay Sahae Kare,
Adham Uddharan Taran Maiya,
Yug Yug Roop Anek Dhare,
Siddh Karti Bhakton Ka Kaaj Hai,
Naam Tero Garib Navaaz Hai,
Sohe Vesh Kasumal Niko,
Tere Ratnon Ka Sir Pe Taaj Hai,
Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai ॥

Jal Par Thal Aur Thal Par Shrrshti,
Adbhut Thari Maya hai,
Sur Nar Muni Jan Dhyaan Dhare Nit,
Paar Nahi Koi Paya Hai,
Thaare Haathon Mein Sevak Ki Laaj Hai,
Liyo Sharano Tihaaro Maiya Aaj Hai,
Sohe Vesh Kasumal Niko,
Tere Ratnon Ka Sir Pe Taaj Hai,
Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai ॥

Jara Samne To Aao Maiya,
Chup Chup Chalne Main Kya Raaj Hai,
Yun Chup Na Sakogi Maiya,
Meri Atma Ki Ye Awaj Hai ॥

Main Tumako Bulaun Tum Nahin Aao,
Asa Kabhi Na Ho Sakta,
Balak Apanee Maiya Se Bichhud Kar,
Sukh Ke Kabhi Na So Sakata,
Meri Naiya Padi Majdhar Hai,
Ab Tu Hi To Khevanhar Hai,
Aaja Ro Ro Pukare Mori Atma,
Meri Atma Ki Ye Awaj Hai ॥

Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai,
Sohe Vesh Kasumal Niko,
Tere Ratnon Ka Sir Pe Taaj Hai,
Jagdambe Bhawani Maiya,
Tera Tribhuwan Me Chhaya Raj Hai ॥
जगदम्बे भवानी मैया, तेरा त्रिभुवन में छाया राज है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जगदम्बे भवानी मैया, तेरा त्रिभुवन में छाया राज है, सोहे वेश कसुमल निको, तेरे रत्नों का सिर पे ताज है, जगदम्बें भवानी मैया, तेरा त्रिभुवन में छाया राज है ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalti Hai Saari Srishti Mahakal Ke Dar Se

Mere Mahakal Ki To Duniya Hi Dewani Hai, Banate Bigadi Sabaki Bhole Aughadadani Hai, Aasara Paaya Hai Krshna Ne Baba Tere Hi Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se ॥

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar ॥

Shankar Ke Dware Chale Kavariya

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya, Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Main Beta Hun Mahakal Ka

Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka, Bhole Baba Mere Hai, Main Beta hun Mahakal Ka, Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka ॥

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe । Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe ॥