Jai Shri Vallabh Jai Shri Vithal, Jai Yamuna Shrinathji (जय श्री वल्लभ, जय श्री विट्ठल, जय यमुना श्रीनाथ जी - भजन)


Jai Shree Vallabh, Jai Shree Vithal,
Jai Yamuna Shreenath Ji ।
Kaliyug Ka to Jeev Uddharya,
Mastak Dhariye Hath Ji ॥
Mor Mukut Aur Kane Kundal,
Ur Vaijayanti Mala Ji ।
Nasika Gaj Moti Sohe,
E Chhabi Jova Jaiye Ji ॥

Aspas to Gau Biraje,
Gaval Mandali Sathe Ji ।
Mukh Thi Vhalo Venu Bajave,
E Chhabi Jova Jaiye Ji ॥

Vallabh Durlabh Jag Mein Gaye,
To Bhavsagar Tar Jayen Ji ।
Madhavdas to Itna Mangen,
Janm Gokul Mein Paen Ji ॥

Jai Shree Giridhar, Jai Shree Govind,
Jai Shree Balakrishn Ji ।
Jai Shree Gokulpate, Jai Shree Raghupati,
Jai Shree Yadupati, Jai Shree Ghanshyam Ji ॥

Shree Gokulvare Nath Ji,
Meri Dor Tumhare Nath Ji ।
Jai Yamuna Shree Govardhan Nath,
Mahaprabhu Shree Vithalnath ॥

Jai Jai Shree Gokulesh,
Shesh Na Rahe Klesh ।

Shree Vallabh Jug Jug Raj Karo,
Shree Vithal Jug Jug Raj Karo ।

Shree Vallabh Vithal Gopinath,
Devaki Nandan Shree Raghunath ।

Shree Yashodanandan Nandkishor,
Shree Muralidhar Makhanchor ।

Surdas Krishnadas Ji,
Paramanandadas Kumbhan Das Ji ।

Chaturbhuj Nandadas Ji,
Chhitaswami Shree Govind Ji ।

Shree Vallabh Dev Ki Jai,
Pranpyare Ki Jai ।

Shree Govardhan Nath Ki Jai,
Chaurasi Vaishnav Ki Jai ।

Do Sau Bavan Bhagvadiyan Ki Jai,
Ashtasakhan Ki Jai ।

Samast Vallabhakul Ki Jai,
Samast Vaishnavan Ki Jai ।
जय श्री वल्लभ, जय श्री विट्ठल, जय यमुना श्रीनाथ जी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जय श्री वल्लभ, जय श्री विट्ठल, जय यमुना श्रीनाथ जी । कलियुग का तो जीव उद्धार्या, मस्तक धरिया हाथ जी..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanShri Shayam BhajanIskcon Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥