Janme Shri Krishna Kanhaiya (जन्मे श्री कृष्ण कन्हैया: कृष्ण भजन)


Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The,
Tute The Bhae Tute The,
Karagar ke Tute Tale The,
So Gaye The Sare Prahari Vo,
Jo Pahara Dene Wale The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥
Bhado Ki Andheri Kali Raat,
Ghanghor Ghata Ne Ki Barsat,
Tokari Utha Vasudev Chale,
Soye Jisme Vansi Wale The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥

Jab Utare Yamuna Ke Jal Mein,
Lahare Thi Uthi Chune Ko Charan,
Barsha Se Bachane Sheshnag,
Ban Chatari Chane Wale The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥

Yashoda Ke Sang Balak Ko Lota,
Usaki Bitiya Sang Leke Chale,
Phir Jaldi Loute Jel Mein Vo,
Hone Ko Aaye Ujale The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥

Nandalal Ki Ane Ki Khabar,
Sun Darsh Ko Aaye Nar nari,
Ab Kansh Ke Jivan Ke Sare,
Din Pure Hone Walw The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥
BhaktiBharat Lyrics

Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The,
Tute The Bhae Tute The,
Karagar ke Tute Tale The,
So Gaye The Sare Prahari Vo,
Jo Pahara Dene Wale The,
Janme Shri Krishna Kanhaiya Jab,
Karagar Ke Tute Tale The ॥
जन्मे श्री कृष्ण कन्हैया: कृष्ण भजन - हिन्दी में पढ़ें
जन्मे श्री कृष्ण कन्हैया जब, कारागार के टूटे ताले थे, टूटे थे भाई टूटे थे, कारागार के टूटे ताले थे, सो गए थे सारे प्रहरी वो, जो पहरा देने वाले थे, जन्में श्री कृष्ण कन्हैया जब, कारागार के टूटे ताले थे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanYashoda Laal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥