Jao Mere Hanuman Booti Le Aao (जाओ मेरे हनुमान बूटी ले आओ - भजन)


Jao Mere Hanuman Booti Le Aao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥
Meri Aankhon Ka Tara,
Bhoomi Pe Gira Bechara,
Vo Mukh Se Kuchh Na Bole,
Vo Nain Na Apne Khole,
Jaan Ko Bacha Aao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao,
Jao Mere Hanuman Booti Le Aao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥

Main Kya Munh Lekar Apna,
Ayodhya Ko Jaunga,
Maiya Se Kaise Aankhe,
Main Apani Mila Pauga,
Baat Batla Jao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao,
Jao Mere Hanuman Booti Le Aao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥

Hey Kul Ke Devta Sooraj,
Tum Uday Nahi Ho Jaana,
Tum Uday Huye to Nishichat,
Mere Pranon Ka Jana,
Ye Sankat Har Jao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao,
Jao Mere Hanuman Booti Le Aao,
Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥

Laga Charan Dhuli Se Chandan,
Hanumat Booti Le Aae,
Prabhu Raam Ki Laaj Thi Raakhi,
Lakshman Ke Praan Bachaye, Vo Kaaj Banaye,
Booti Wala Parvat Hanumat Laye Hai,
Ram Prabhu Ke Kaaj Saare Banaye Hai,
Booti Vaala Parvat Hanumat Laye Hai.......
जाओ मेरे हनुमान बूटी ले आओ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जाओ मेरे हनुमान बूटी ले आओ,, लखन के राखो प्राण बूटी ले आओ॥
Bhajan Mangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path BhajanHanuman Booti Le Aao BhajanHanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥