Jo Shiv Ko Dhyate Hain Shiv Unke Hain (जो शिव को ध्याते है, शिव उनके है - भजन)


Jo Shiv Ko Dhyate Hai,
Shiv Unake Hai,
Jo Shiv Mein Kho Jate Hai,
Jo Shiv Mein Kho Jate Hai,
Shiv Unake Hai,
Jo Shiv Ko Dhyate Hain,
Shiv Unake Hai ॥
Shiv Ko Na Garj Koi,
Chhoti Badi Baat Se,
Shiv to Hai Khush Hote,
Bhavana Ki Baat Se,
Manav Hai Pate Use,
Nishchay Se Jap Se,
Danav Vardan Lete,
Barson Ke Tap Se,
Jo Shraddha Dikhate Hai,
Shiv Unke Hai,
Jo Shiv Ko Dhyate Hain,
Shiv Unke Hai ॥

Nishtha Ka Doodh Aur,
Jal Unko Bhaye Re,
Meva Abhiman Ka Na,
Unko Rijhaye Re,
Ravan Ne Pai Jinse,
Sone Ki Lanka Hai,
Unki Dayaluta Pe,
Hamko Na Shanka Hai,
Jo Shiv Ke Ho Jate Hai,
Shiv Unke Hai,
Jo Shiv Ko Dhyate Hain,
Shiv Unake Hai ॥

Shiv Hi Shivalay Mein,
Shiv Hi Kailash Mein,
Shiv to Hai Bhakton Ke,
Man Ke Vishwas Mein,
Shiv Ko Na Paya Jaye,
Unche Dimagon Se,
Bandh Jate Prem Ke,
Kachche Hi Dhagon Se,
Jo Prem Badhate Hai,
Shiv Unke Hai,
Jo Shiv Ko Dhyate Hain,
Shiv Unke Hai ॥

Jo Shiv Ko Dhyate Hai,
Shiv Unke Hai,
Jo Shiv Mein Kho Jate Hai,
Jo Shiv Mein Kho Jate Hai,
Shiv Unke Hai,
Jo Shiv Ko Dhyate Hain,
Shiv Unke Hai ॥
जो शिव को ध्याते है, शिव उनके है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो शिव को ध्याते है, शिव उनके है, जो शिव में खो जाते है..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanNarendra Chanchal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Ghadd De Sunar Kangna

Ghrara De Sunar Kangana Maiya Ko Pahnaungi ॥ Kangan Jo Pahane Maiya Balihari Jaungi॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Radha Dundh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Dhundh Rahi Kisi Ne Mera Shyam Dekha, O Bansi Bajate Hue, Oradha Tera Shyam Dekha
॥