Kanha Re Thoda Sa Pyar De (कान्हा रे थोडा सा प्यार दे - भजन)


Kanha Re Thoda Sa Pyar De,
Charno Me Baitha Ke Taar De,
O Gauri Ghunghat Ughad De,
Prem Ki Bhiksha Jholi Mein Daal De ॥
Prem Gali Mein Aake Gujariya,
Bhool Gai Re Ghar Ki Dagariya,
Jab Tak Sadhan, Tan, Man, Jeevan,
Sab Tujhe Arpan, Pyare Sanwariya, ॥

Maya Ka Tumne Rang Aisa Daala,
Bandhan Me Bandh Gaya Bandhne Wala,
Kaun Ramapati Kaisa Ishwar,
Main to Hoon Gokul Ka Gwala,
Gwala Re Thoda Sa Pyaar De,
Gwalin Ka Jeevan Savaar De ॥

Aatma-parmatma Ke,
Milan Ka Madhu Maas Hai,
Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai
Tribhuvan Ka Swami, Bhakton Ka Daas Hai,
Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai,
Krishn Kamal Hai, Radhe Suvaas Hai,
Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maharaas Hai
Iske Avlokan Ki Yug Yug Ko Pyaas Hai,
Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai ॥

Kanha Re Thoda Sa Pyar De,
Charno Me Baitha Ke Taar De ॥

Tu Jhootha, Vachan Tere Jhoothe,
Muska Ke Bholi Radha Ko Loote,
Mai Bhi Hu Sachcha, Vachan Mere Sachche,
Preet Meri Pakki, Tumare Man Kachche ॥

Jaise Tu Rakhen, Vaise Rahungi,
Dungi Pariksha Peed Sahungi,
Swargon Ke Sukh Bhi Mithe Na Laage,
Tu Mil Jaye to Moksh Nahi Mange
Kanha Re Thoda Sa Pyar De,
Charno Me Baitha Ke Taar De ॥

Srishti Ke Kan Kan Mai Iska Aabhaas Hai,
Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai
Ho Taaro Mai Nartan, Phulon Mai Ulhas Hai
Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai
Murali Ki Pratidhvani, Dishao Ke Paas Hai
Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai
Ho Adhyatmik Chetna Ka Saame Vikas Hai
Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
कान्हा रे थोडा सा प्यार दे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कान्हा रे थोडा सा प्यार दे, चरणो मे बैठा के तार दे, ओ गौरी घुंघट उघाड़ दे, प्रेम की भिक्षा झोली में डाल दे...
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ka Nahi

Raja Ram Sabhi Ke Unki, Praja Hai Yahan Sari, Ek Duje Se Ram -Ram, Kahake Milte Nar Naari, Ram Naam Anmol Mile, Kahi Dam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka

Bhajan Karo Mitr Mila, Ashram Nartan Ka । Shwas Ki Sumirini Hai, Man Ko Bana Manka ॥

Shree Ram Ayodhya Aaye Hain

Aaj Avadh Mein Utsav Bhari, Ghee Ke Deep Jalaye Hain, Cham Cham Nache Bajrangi, Shree Ram Ayodhya Aaye Hain ॥