Kanhaiya Se Najare Mila Ke To Dekho (कन्हैया से नज़रे, मिला के तो देखो: भजन)


Kanhaiya Se Nazre,
Mila Ke to Dekho,
Sanwariye Se Nazre,
Mila Ke to Dekho,
Dilon Jaan Inpe,
Luta Ke to Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥
Naino Mein Inke,
Chhupa Koi Jaadu,
Dil Pe Rahega,
Na Koi Kaabu,
Jara Paas Inke,
Aake to Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥

Sanwali Surat,
Kaisi Ye Damke,
Jyoon Poonam Ka,
Chanda Chamke,
Chehare Pe Nazre,
Tika Ke to Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥

Murali Adhar Pe,
Yoon Saj Rahi Hai,
Taan Rasili,
Yoon Baj Rahi Hai,
Murali Mein Man Ko,
Uljha Ke Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥

Rah Jaye Na,
‘Nandu’ Dhokha,
Is Jeevan Ka,
Kya Hai Bharosa,
Bahe Prem Nadiyan,
Naha Ke to Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥

Kanhaiya Se Nazre,
Mila Ke to Dekho,
Sanwariye Se Nazre,
Mila Ke to Dekho,
Dilon Jaan Inpe,
Luta Ke to Dekho,
Kanhaiya Se Nazren,
Mila Ke to Dekho ॥
कन्हैया से नज़रे, मिला के तो देखो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कन्हैया से नज़रे, मिला के तो देखो, सांवरिये से नज़रे, मिला के तो देखो, दिलों जान इनपे, लुटा के तो देखो, कन्हैया से नज़रें, मिला के तो देखो ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanKunj Bihari BhajanBanke Bihari BhajanRadhe Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥