Koi Jaye Jo Vrindavan Mera Paigam Le Jana (कोई जाये जो वृन्दावन - भजन)


Koi Jaye Jo Vrindavan,
Mera Paigaam Le Jana ।
Main Khud to Ja Nahin Paoon,
Mera Pranam Le Jaana ॥
Ye Kahna Murali Wale Se Mujhe Tum Kab Bulaoge,
Pade Jo Jaal Maya Ke Unhe Tum Kab Chhudaoge ।
Mujhe Is Ghor Dal-Dal Se, Mere Bhagwan Le Jaana ॥

Koi Jaaye Jo Vrindavan,
Mera Paigaam Le Jaana ।
Main Khud to Ja Nahin Paoon,
Mera Pranam Le Jaana ॥

Jab Unke Saamne Jao to Unko Dekhte Rahna,
Mera Jo Haal Poochhen to Zuban Se Kuch Nahin Kahna ।
Baha Dena Kuch Ek Aansu Meri Pahchan Le Jaana ॥

Koi Jaaye Jo Vrindavan,
Mera Paigaam Le Jaana ।
Main Khud to Ja Nahin Paoon,
Mera Pranam Le Jaana ॥

Jo Raaten Jaag Kar Dekhen, Mere Sab Khwab Le Jaana,
Mere Aansu Tadap Meri..Mere Sab Bhaav Le Jaana ।
Na Le Jao Agar Mujhko, Mera Saman Le Jaana ॥

Koi Jaaye Jo Vrindavan,
Mera Paigaam Le Jaana ।
Main Khud to Ja Nahin Paoon,
Mera Pranam Le Jaana ॥

Main Bhatkun Dar Ba Dar Pyare, Jo Tere Man Mein Aaye Kar,
Meri Jo Sanse Antim Ho..Vo Nikalen Teri Chaukhat Par ।
‘Haridasi’ Hoon Main Teri.. Mujhe Bin Daam Le Jaana ॥

Koi Jaaye Jo Vrindavan,
Mera Paigaam Le Jaana ।
Main Khud to Ja Nahin Paoon,
Mera Pranam Le Jaana ॥
कोई जाये जो वृन्दावन - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कोई जाये जो वृन्दावन, मेरा पैगाम ले जाना, मैं खुद तो जा नहीं पाऊँ, मेरा प्रणाम ले जाना..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanVrindavan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Pyaro Vrindavan

Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayam haday ku bhaye, Vrindavan pyaro vrindavan...

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Me Bhakto

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto, Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।