Kyu Chup Ke Baithte Ho Parde Ki Kya Jarurat (क्यों छुप के बैठते हो, परदे की क्या जरुरत - भजन)


Kyon Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat,
Bhakton Ko Yun Satane Ki,
Bhakton Ko Yun Satane Ki,
Achhi Nahin Hai Aadat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥
Maana Ki Murli Wale,
Banki Teri Ada Hai,
Teri Sanwari Chhavi Pe,
Saara Ye Jag Fida Hai,
Lekin Ho Kaare Kaare,
Lekin Ho Kaare Kaare,
Ye Bhi to Hai Hakikat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥

Tedhi Teri Chhavi Hai,
Tirchhi Hai Teri Aankhe,
Tedha Mukut Hai Sar Pe,
Tedhi Hai Teri Baaten,
Karte Ho Tum Kyon Sanware,
Karate Ho Tum Kyon Sanware,
Bhakto Se Ye Shararat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥

Humko Bula Ke Mohan,
Kyon Parda Kar Liya Hai,
Hum Gair to Nahin Hai,
Humne Bhi Dil Diya Hai,
Dekhoon Mila Ke Nazre,
Dekhoon Mila Ke Nazre,
De Do Jara Ijaajat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥

Dildaar Teri Yaari,
Humko Jahaan Se Pyari,
Teri Sanwari Saloni,
Soorat Pe ‘Romi’ Wari,
Parda Jara Hata Do,
Parda Jara Hata Do,
Kar Do Prabhu Inayat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥

Kyon Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat,
Bhakton Ko Yun Satane Ki,
Bhakton Ko Yun Satane Ki,
Achhi Nahin Hai Aadat,
Kyo Chhup Ke Baithte Ho,
Parde Ki Kya Jarurat ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
क्यों छुप के बैठते हो, परदे की क्या जरुरत - भजन - हिन्दी में पढ़ें
क्यों छुप के बैठते हो, परदे की क्या जरुरत, भक्तों को यूँ सताने की, भक्तों को यूँ सताने की, अच्छी नहीं है आदत ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Aayo Faganiyo Albelo

Aayo Phaganiyo Alabelo, Baba Shyam Dhani Ko Melo, Chalyo Bhagata Ko Yo Relo, Khatu Shyam Ji, O Khatu Dham Ji ॥

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo Shyam Sahara Milta Hai

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo, Shyam Sahara Milta Hai, Rota Hai Koi Shyam Ka Premi...

Sara Barsana Tera Deewana Hua

Teri Murli Ki Dhun, Humne Jabse Suni, Sara Barsana Tera Deewana Hua, Mili Tumse Najar, Meri Jab Saanware, Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥