Mahakal Gangadhar Mere (महाकाल गंगाधर मेरे - भजन)


Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥
Tune Lakho Papi Tare Hai,
Nahi Gun Aur Dosh Bichare hai,
Main Bhi Aana Pada dar Tere,
Main Bhi Aana Pada dar Tere,
Mahakal Gangadhar Mere,
Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥

Vishayo Ke Jaal Mein Phasakar Ke,
Jhuthi Ulphat Mein Dhansakar Ke,
Dukh Paye Naath Ghanere,
Dukh Paye Naath Ghanere,
Mahakal Gangadhar Mere,
Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥

Tu Din Bandhu Hitkari Hai,
Hum Dukhia Saran Tihari Hai,
Hum Din Hin Hai Tere,
Hum Din Hin Hai Tere,
Mahakal Gangadhar Mere,
Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥

Bhakta Teri Saran Mein Aaya Hai,
Aake Charnon Mein Shish Jhukaya Hai,
Kato Janam Maran Ke Phere,
Kato Janam Maran Ke Phere,
Mahakal Gangadhar Mere,
Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥

Ab Koi Na Sahara Bin Tere,
Mahakal Gangadhar Mere ॥
महाकाल गंगाधर मेरे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तूने लाखों पापी तारे है, नहीं गुण और दोष विचारे है, मैं भी आन पड़ा दर तेरे, मैं भी आन पड़ा दर तेरे, महाकाल गंगाधर मेरे, अब कोईं न सहारा बिन तेरे, महाकाल गंगाधर मेरे ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro

Ramdoot Mahavir Hanuman, Swikaro Mere Koti Pranam, Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,..

Bajrangi Tera Sota Kamal

Bajarangi Tera Sota Kamal, Machai Jag Mein Baba Dhamal, Ram Gun Gayenge Kasta Mit Jayenge ॥

Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye

Juba Pe Ram Ka Naam Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye ॥

Jagmag Hui Ayodhya Nagari Sant Kare Gungan

Ratan Sinhasan Ram Virajen, Aae Ghadi Mahan, Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman, Ankhiyan Taras Gae Sadiyon Se, Jhume Sakal Jahaan, Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥