Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro (रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो: भजन)


Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro
Pranavun Pavankumaar,
Khal Ban Paavak Gyan Ghan,
Jasu Hriday Aagar,
Basahin Ram Sar Chaap Dhar ।
Ramdoot Mahavir Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Charnon Mein Baithe Hai Tumhare,
Archan Vandan Karte Hain,
Akshat Chandan Dhoop Deep Se,
Hum Abhinandan Karte Hain,
Avagun Mere Na Dhariyo Dhyan,
Avagun Mere Na Dhariyo Dhyan,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Lobh Moh Mad Kaam Ke Danav,
Man Mein Chhup Ke Baithe Hain,
Prabhu Bhi Bhakti Na Hone Dete,
Man Ko Chanchal Karte Hain,
Raksha Karo Inse Hanuman,
Raksha Karo Inse Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Asht Siddhi Nav Nidhi Ke Data,
Sada Sahai Ho Dukhiyon Ke,
Ram Se Nata Bana Jo Sabka,
Bhagya Jaga Do Prabhu Bhakton Ke,
Bhakti Ki Jyoti Jale Aviram,
Bhakti Ki Jyoti Jale Aviram,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Ramdoot Mahavir Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो: भजन हिन्दी में पढ़ें

रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो मेरे कोटि प्रणाम, आस लगी तोरी किरपा निधान,..
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jayanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanHari Om Sharan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Palki Sone Ki Ram Prabhu Ki Aayi

Palki Sone Ki, Mere Ram Prabhu Ki Aai, Viraje Raghav Ji, Sang Seeta Charon Bhai ॥

Chali Chali Re Palki Shree Ram Ki

Chali Chali Re, Chali Chali Re, Chali Chali Re, Palaki Shree Ram Ki, Jay Bolo Bhakto Veer Hanuman Ki ॥

Balasa Kripa Banai Mhapar Rakhiyo

Balasa Kirapa Banai, Mha Par Rakhiyo, O Mhane Thaaro Hi Hai, Aadhar Balasa,
Kirapa Banai, Mha Par Rakhiyo ॥

Mahabhakt Hanuman

Mahaveer Hai Mahabali Hai Mahabhakt Hanuman Mere, Nit Ram Bhajan Mein Ram Lagan Mein Sewarat Hanuman Mere, Mahagyani Hai Mahadani Hai Mahasanta Hanuman Mere, Mangal ko Janme Mangal Jag Mein Sada Karat Hanuman Mere ॥

Mahaveer Hai Naam Tumhara

Mahaveer Hai Naam Tumhara, Dilmein Basa Hai Ram Ka Nara, Sabke Chahte Deh Pe Lapete Rahate Bhagwa Rang, Bajarangbali Bajarangbali Bajarangbali Bajarang ॥

Wo Hai Mahabali Bajarangbali

Na Koi Bhi Tod Hai Na Inki Shakti Ka Mol Hai, Anjani Ke Raj Dulare Shree Ram Ke Bade Anmol Hai, Naam Se Jinki Mere har Vipada Har Baar Tali, Wo Hai Mahabali Wo Hai Mahabali Bajarangbali Wo Hai Mahabali ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP