Main Nahi Mera Nahi Ye Tan (मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन - भजन)


Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥
Dene Wale Ne Diya,
Wah Bhi Diya Kis Shaan Se ।
Mera Hai Yah Lene Wala,
Kah Utha Abhiman Se
Main, Mera Yah Kahne Wala,
Man Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jo Mila Hai Vah Hamesha,
Paas Rah Sakta Nahin ।
Kab Bichhud Jaye Yah Koi,
Raaj Kah Sakta Nahin ।
Zindgani Ka Khila,
Madhuvan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jag Ki Sewa Khoj Apni,
Priti Unse Keejiye ।
Zindgi Ka Raaj Hai,
Yah Jankar Ji Leejiye ।
Sadhna Ki Raah Par,
Yah Sadhan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Sab Kisi Ka Hai Diya ।
Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥
मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन किसी का है दिया। जो भी अपने पास है..
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanKrishna Chandra Shastri Thakur Ji Bhajan

Other Popular Main Nahi Mera Nahi Ye Tan Video

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan By Pujya Rajan Ji

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan By Devi Chitralekha Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Naam Vo Ratte Jaye Ram Ki Mala Japte Jaye

Ram Ram Wo Ratate Jaye, Ram Ki Mala Japate Jaye, Charanon Main Shis Navate Chale, Ram Ke Kaaj Wo Banate Chale, Ram Ram Wo Ratate Jaye, Ram Ki Mala Japate Jaye ॥

Vo Lal Langote Wala Mata Anjani Ka Lala

Vo Laal Langote Wala, Mata Anjani Ka Lala, Bhakton Ke Kastha Mitaye, Bipada Ko Dur Bhagaye,
Ase To Salasar Vala Hai, Bhakto Ka Rakhwala Hai ॥

Rama Rama Japne Wale

Rama Rama Japne Wale Hai Maruti Rah Dikjao Na, O Pawan Putra Balwari Hame Apna Darsh Dikhao Na, Rama Rama Japne Wale Hai Maruti Rah Dikjao Na ॥

Vinti Sun Lena Meri Kab Aaoge Hanuman

Vinati Sun Lena Meri, Juon Batadali Teri, Kab Aaoge Hanuman, Dharun Main Tumhara Dhyaan ॥

Jhoom Utha Dil Dekho Nazara Us Salasar Dham Ka

Jhuma Utha Dil Main najara, Us Salasar Dham Ka, Jhanda Shree Ram Ka, Danka Hanuman ka,
Jhanda Shree Ram Ka, Danka Hanuman ka ॥