Man Mein Hai Vishwas Agar Jo Shyam Sahara Milta Hai (मन में है विश्वास अगर जो श्याम सहारा मिलता है: भजन)


Man Mein Hai Vishwas Agar Jo,
Shyam Sahara Milta Hai,
Rota Hai Koi Shyam Ka Premi,
Rota Hai Koi Shyam Ka Premi,
Shyam Singhasan Hilata Hai ॥
Aandhi Aaye Tupha Aaye,
Kaisi Bhi Koi Mushkil Ho,
Jeevan Naiya Dol Rahi Ho,
Deekhta Na Kaheen Saahil Ho,
Aise Mein Vishwas Bhakt Ka,
Ek Na Ek Din Phalta Hai,
Man Mein Hai Vishwas Agar to,
Shyam Sahara Milta Hai ॥

Raah Dikhata Har Premi Ko,
Jeevan Path Par Saath Chale,
Aisa Hai Vishwas Sanwara,
Le Hathon Mein Hath Chale,
Shyam Sahara Ban Jata Hai,
Jab Koi Premi Phisalta Hai,
Man Mein Hain Vishwas Agar to,
Shyam Sahara Milta Hai ॥

Jiski Bagiya Shyam Sanware,
Mahke Vo Phulwari Hai,
Us Bagiya Ka Phool Sada Hi,
Baba Ka Aabhari Hai,
Murjhaye Na Phool Kabhi Vo,
Har Mausam Mein Khilta Hai,
Man Mein Hain Vishwas Agar to,
Shyam Sahara Milta Hai ॥

Karle Bharosa Shyam Prabhu Par,
Idhar Udhar Tu Bhatke Kyun,
Haknaya Jab Shyam Prabhu Hai,
Teri Naiya Atke Kyoon,
Andhkar Ke Baad Hi ‘Romi’,
Sooraj Roz Nikalta Hai,
Man Mein Hain Vishwas Agar to,
Shyam Sahara Milta Hai ॥

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo,
Shyam Sahara Milta Hai,
Rota Hai Koi Shyam Ka Premi,
Rota Hai Koi Shyam Ka Premi,
Shyam Singhasan Hilata Hai ॥
मन में है विश्वास अगर जो श्याम सहारा मिलता है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मन में है विश्वास अगर जो, श्याम सहारा मिलता है, रोता है कोई श्याम का प्रेमी ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanShri Nath Ji BhajanPrabhu Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tuti Jhupdiya Meri Maa Garib Ghar Aajana

Tuti Jhupdiya Meri Maan, Garib Ghar Aa Jana । Bade Bade Log Maiya Jagran Karaye

Hey Muralidhar Chhaliya Mohan

Hey Murlidhar Chhaliya Mohan, Hum Bhi Tumko Dil De Baithe, Gam Pahle Se Hi Kam to Na the

Ram Ji Se Puche Janakpur Ki Nari

Ram Ji Se Puchhe Janakpur Ki Nari, Bata Da Babua Logva Det Kahe Gaari, Bata Da Babua ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..