Mere Bhole Ki Barat Mein Dhol Nagade Vaaje (मेरे भोले की बारात में ढोल नगाड़े बाजे - भजन)


Mere Bhole Ki Barat Mein
Dhol Nagaade Baaje
Bhaang Dhatoora Peekar Bhole
Chale Hain Byaah Rachaane
Mere Bhole Ki Barat Mein ॥
Sarpo Ki Hai Mala Gale Mein
Ang Bhabhoot Lagi Hai
Bhaal Chandrama Hath Mein Damru
Ajab Si Inki Chhavi Hai
Shiv Bhole Ke Aage Aage
Bhut Pret Bhi Naache
Mere Bhole Ki Barat Mein ॥

Parvati Ki Jid Se Dekho
Kaisa Shubh Din Aaya
Bhoot Naath Bhagwan Ne Gauraan
Ji Se Byah Rachaya
Dhuni Khoob Ramane Wale
Chale Hain Gauraan Laane
Mere Bhole Ki Barat Mein ॥

Koi Dhol Bajata Jaye
Koi Nach Nachave
Shiv Par Phool Chadhave Koi
Rang Gulal Udave
Haha Kaar Machate Jaye
Koi Ek Na Maane
Mere Bhole Ki Barat Me ॥

Dhoomdham Se Shiv Barat Jab
Parvati Ghar Aai
Dev Gano Aur Bhaktjano Mein
Kaisi Khushiyan Chhai
Varmala Le Aai Gaura
Shiv Ji Ko Pahnane
Mere Bhole Ki Barat Me ॥
मेरे भोले की बारात में ढोल नगाड़े बाजे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे भोले की बारात में, ढोल नगाड़े बाजे, भांग धतूरा पीकर भोले, चले हैं ब्याह रचाने , मेरे भोले की बारात में ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanBhole Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Bhole Ke Naam Ka Pyala Piyege

Bhole Ke Naam Ka Pyala Piyege, Bhole Ke Naam Ka Jap Hum Karenge, Masti Mein Jhumenge Nache Gayenge, Jab Bhi Bhole Mere Damru Bajayenge ॥

Sankat Harlo Mangal Kardo Pyare Shiv Gaura Ke Lal

Sankat Harlo Mangal Kardo, Pyare Shiv Gaura Ke Lal, Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥

Dekar Sharan Apani Apne Mein Sama Lena

Barapa Hai Kehar Bhole Aakar Ke Bacha Lena, Dekar Sharan Apni Apne Mein Sama Lena ॥

Teri Mand Mand Mushakniya Pe Balihar

Teri Mand-mand Muskaniya Pe, Balihar Sanware Ju । Teri Mand-mand Muskaniya Pe