Mere Man Mandir Me Tum Bhagwan Rahe (मेरे मन मंदिर में तुम भगवान रहे: भजन)


Mere Man Mandir Mein Tum Bhagwan Rahe,
Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe
Mere Ghar Mein Kitne Din Mehman Rahe,
Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe
Ganpati Bappa Morya,
Agle Baras Tu Jaldi Aa ॥Kitni Ummide Bandh Jaati Hai Tum Se,
Tum Jab Aate Ho,
Ab Ke Baras Dekhe Kya De Jaate Ho,
Kya Le Jaate Ho ॥

Ganpati Bappa Morya,
Agle Baras Tu Jaldi Aa ॥

Apne Sab Bhakto Ka Tum Ko Dhyan Rahe
Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe ॥

Aana Jaana Jeevan Hai,
Jo Aaya Kaise Jaye Na,
Khilne Se Pahale Hi Lekin,
Phool Koi Murjhaye Na.
Ganpati Bappa Morya,
Agle Baras Tu Jaldi Aa,
Nyay Anyay Ki Kuchh Pahachan Rahe
Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe ॥

Asuan Ka Katra Katra,
Sagar Se Bhi Hai Gahara
Isme Doob Na Jaoon Main,
Tumhari Jai Jai Gaoon Mein ॥

Varna Ab Jab Aaoge,
Tum Mujhko Na Paoge
Tum Ko Kitna Duhkh Hoga,
Ganpati Bappa Morya.
Apni Jaan Ke Badle Apni,
Jaan Mai Arpan Karta Hoon,
Aakhri Darshan Karta Hoon,
Ab Mai Visarjan Karta Hun,
Ganpati Bappa Morya,
Agle Baras Tu Jaldi Aa ॥

Mere Man Mandir Mein Tum Bhagwan Rahe,
Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
मेरे मन मंदिर में तुम भगवान रहे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे मन मंदिर में तुम भगवान रहे, मेरे दुःख से तुम कैसे अनजान रहे मेरे घर में कितने दिन मेहमान रहे, मेरे दुःख से तुम कैसे अनजान रहे गणपती बाप्पा मोरया, अगले बरस तू जल्दी आ ॥
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Janme Avadh Me Ram Mangal Gao Ri

jis bhajan mein ram ka naam na ho, us bhajan ko gana na chahie...

Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai, Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai...

Karlo Karlo Charo Dham

Karlo Karlo Charo Dham, Milenge Krishn, Milenge Ram Jeevan Safal Usi Ka Samjho, Jisne Kiya Ye Dham

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu, Meri Gagar Bhar Do Thake Panv Hai

Tumhi Me Ye Jivan Jiye Ja Raaha Hoon

Tumhin Mein Ye Jeevan Jiye Ja Raha Hoon, Jo Kuchh De Rahen Ho Lie Ja Raha Hoon ॥ Tumhin Se Chala Karati Pranon Ki Dhadakan...