Mere Nath Mere Shyam O Khatu Wale (मेरे नाथ मेरे श्याम ओ खाटू वाले - भजन)


Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale
Mera Yeh Jeevan Hai Prabhu Tere Hawale, Mera Yeh Parivar Prabhu Tere Hawale
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale
Mera Yeh Jeevan Hai Prabhu Tere Hawale, Mera Yeh Parivar Prabhu Tere Hawale
Hare Ke Sahare Ho Prabhu Shyam Hamare
Hare Ke Sahare Ho Prabhu Shyam Hamare
Bhakton Ke Pyare Ho, Makhan Ke Dulare
Bhakton Ke Pyare Ho, Makhan Ke Dulare
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale

Teen Baan Dhari, Teri Mahima Hai Nyari
Teen Baan Dhari, Teri Mahima Hai Nyari
Mata Morvi Hai Guru, Krishna Murari
Mata Morvi Hai Guru, Krishna Murari
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale

Narayan Ko Sheesh Diya Tumne Prabhu Dan
Narayan Ko Sheesh Diya Tumne Prabhu Dan
Vardan Mila Krishna Se, Kalyug Ke Tum Ho Shyam
Vardan Mila Krishna Se, Kalyug Ke Tum Ho Shyam
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale

Brahma Vishnu Tum Hi Mere, Tum Hi Ho Mahesh
Brahma Vishnu Tum Hi Mere, Tum Hi Ho Mahesh
Mera Hai Saransh Prabhu, Kato Sab Kalesh
Mera Hai Saransh Prabhu, Kato Sab Kalesh
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale
Mera Yeh Jeevan Hai Prabhu Tere Hawale, Mera Yeh Parivar Prabhu Tere Hawale
Mere Nath Mere Shyam, Mere Nath Mere Shyam, O Khatu Wale
Mera Yeh Jeevan Hai Prabhu Tere Hawale, Mera Yeh Parivar Prabhu Tere Hawale
Mera Yeh Jeevan Hai Prabhu Tere Hawale, Mera Yeh Parivar Prabhu Tere Hawale ॥
मेरे नाथ मेरे श्याम ओ खाटू वाले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे नाथ मेरे श्याम, मेरे नाथ मेरे श्याम, ओ खाटू वाले, मेरा ये जीवन है प्रभु तेरे हवाले, मेरा ये परिवार प्रभु तेरे हवाले॥
Bhajan Khatu Shyam BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanFagan Mela BhajanShri Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jhule Palna Mein Krishna Kanhaiya

Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein, Badhae Baje Gokul Mein,
Badhae Baje Gokul Mein, Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein ॥

Main To Banke Dulhan Aaj Saji

Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main, Main To Ban Ke Dulhan Aaj Saji, Bas Tum Hi Ho Mere Tan Maan main, Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main ॥

Ab Naa Banegi Too Phir Na Banegi

Ab Naa Bani Too Fir Naa Banegi, Nar Tan Baar Baar Nahi Milta, Heera Saa Janam Kyo Virtha Gavayo..

Hame Nij Dharm Par Chalna Sikhati Roj Ramayan

Hamen Nij Dharm Par Chalna, Sikhati Roj Ramayan, Sada Shubh Aachran Karna, Sikhati Roj Ramayan ॥

Narayan Jaap

Shriman Narayan Narayan Narayan, Lakh Chaurasi Ghum Ke Tune Ye Manav Tan Paya