Mere Ram Itni Kripa Karna Beete Jeevan Tere Charno Me (मेरे राम इतनी किरपा करना, बीते जीवन तेरे चरणों में: भजन)


Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥
Mere Ram Mere Ghar Aa Jaana,
Shabri Ke Ber Tum Kha Jaana,
Mujhe Darshan Apne Dikha Jaana,
Mujhe Mukti Mile Apne Karmo Se,
Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥

Jab Janam Loon Main Teri Daasi Banu,
Teri Seva Karoon Sanyasi Banu,
Har Janam Mein Main Teri Pooja Karoon,
Na Karna Vimukh Mere Dharmo Se,
Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥

Bas Itni Humpe Daya Karna,
Naam Tera Bhaje Mera Manva,
Nahin Door Kabhi Ho Teri Soorat,
Prabhu Aan Bason Mere Naynon Mein,
Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥

Bhatke Jab Jeevan Ki Naiya,
Prabhu Paar Lagaana Banke Khivaiya,
Jab Dikhe Na Kahi Mujhe Ujiyara,
Le Lena Apne Charnon Mein,
Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥

Mere Ram Itni Kirpa Karna,
Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥
मेरे राम इतनी किरपा करना, बीते जीवन तेरे चरणों में: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे राम मेरे घर आ जाना, शबरी के बेर तुम खा जाना, मुझे दर्शन अपने दिखा जाना, मुझे मुक्ति मिले अपने कर्मो से, मेरे राम इतनी कीरपा करना, बीते जीवन तेरे चरणों में ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Meri Tulsi Ke Gamle Pe Pm Likha Hai

Meri Tulsi Ke Gamle Pe Om Likha Hai, Om Likha Hai Hariom Likha Hai।