Mere Sarkar Ka Didar Bada Pyara Hai (मेरे सरकार का, दीदार बड़ा प्यारा है: भजन)


Mere Sarkar Ka,
Deedar Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥
Tere Naina Kateele,
Mote Mote Rasile ।
Dil Ko Cheen Liya,
Teree Pyari Hansee Ne ।
Pyari Ankhiyon Mein Laga,
Kajra Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥

Mere Sarkar Ka,
Deedar Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥

Laton Ne Loot Liya,
Jigar Ghayal Yeh Kiya ।
Teri Pyari Ada Ne,
Mujhe Bechain Kiya ।
Mere Seene Mein Tera,
Dard Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥

Mere Sarkar Ka,
Deedar Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥

O Mere Shyam Piya,
Tere Bin Tadape Jiya ।
Prem Tum Se Hi Kiya,
Tune Kya Jadoo Kiya ।
Teri Yadon Mein Thirke,
Ang Mera Sara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥

Mere Sarkar Ka,
Deedar Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ।
Krishn Mera Pyara,
Govind Bada Pyara Hai ॥
मेरे सरकार का, दीदार बड़ा प्यारा है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे सरकार का, दीदार बड़ा प्यारा है । कृष्ण मेरा प्यारा..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanDivya Chaturvedi Bhajan

Other Popular Mere Sarkar Ka Didar Bada Pyara Hai Video

By Dheeraj Bawra

By Devi Chitralekha

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Mahadevi Avtar Bhawani More Angna Main

Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein, More Angna Mein Tori Madhiya Mein, Chhain Khushiyan Aprampar, Bhawani Tori Madhiya Mein, Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein ॥

Nit Mahima Mai Gaun Maiya Teri

Sada Jyot Jagaoon Maiya Teri, Nit Mahima Main Gaun Maiya Teri, Mujhe Na Kuch Aur Chahiye ॥

Khel Panda Khel Panda Re

Khel Panda Khel Panda Re, Khel Panda Re

Singh Sawari Mahima Bhari

Singh Sawari Mahima Bhari, Pahadon Mein Asthan Tera, Bramha Vishnu Shiv Shankar Bhi, Karte Maan Gungan Tera ॥

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥