Mere To Aadhar Hai Bholenath Ke Charnarvind (मेरे तो आधार हैं, भोलेनाथ के चरणारविन्द - भजन)


Mere to Adhar Hai,
Bholenath Ke Charanaravind,
Bhole Ke Charanaravind,
Baba Ke Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥
Bhor Bhaye Gangajal Lekar,
Baba Tere Mandir Aaoon,
Dhup Deep Naivaidya Chadhakar,
Bhole Tera Hi Gun Gaoon,
Naino Se Niharoon Baba,
Tere Hi Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥

In Pyase Naino Ko Baba,
Darshan Do Kashi Ke Vasi,
Man Ka Mel Mitakar Mujhko,
Apna Lo Bhole Avinashi,
Manjil Mujhe Dikhaye Baba,
Tere Hi Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥

Kawadiyon Ka Ek Sahara,
Vaidyanath Sukhdham Tumhara,
Tanmyata Se Chalte Chalte,
Bol Rahe Bam Bam Ka Nara,
Vipdaon Se Sada Ubare,
Tere Hi Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥

Bhootnath Bhole Bhandari,
Jag Pratipalak Bhav Bhayahari,
Teri Kripa Se Bhavsagar Mein,
Chalti Hai Ye Nav Hamari,
Sabhi Dukho Se Paar Lagate,
Tere Hi Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥

Mere to Adhar Hai,
Bholenath Ke Charanaravind,
Bhole Ke Charanaravind,
Baba Ke Charanaravind,
Mere to Adhar Hain,
Bholenath Ke Charanaravind ॥
मेरे तो आधार हैं, भोलेनाथ के चरणारविन्द - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोर भये गंगाजल लेकर, बाबा तेरे मंदिर आऊं, धुप दीप नैवैद्य चढ़ाकर, भोले तेरा ही गुण गाऊं, नैनो से निहारूं बाबा, तेरे ही चरणारविन्द, मेरे तो आधार हैं, भोलेनाथ के चरणारविन्द ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Mere To Aadhar Hai Bholenath Ke Charnarvind Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Kanwar Saja Ke Chalo Sawan Ritu Hai Aayi

Kaanvad Saja Ke Chalo, Sawan Ritu Hai Aayi, Bhakto Ko Shiv Ne Apne, Awaj Hai Lagae, Kaanvad Saja Ke Chalo, Sawan Ritu Hai Aayi ॥

Hey Shivshankar Hey Karunakar

Hey Shivshankar Hey Karunakar, Hey Parmeshwar Parampita Har Har Bhole Namah Shivay,

Bhole Bhandari Sabke Hi Bhandar Bhare

Bhole Bhandari Sabke Hi Bhandar Bhare, Jo Pooje Unko, Unka Vo Uddhar Kare

Shiv Shankar Ka Gungaan Karo

Shiv Shankar Ka Gungaan Karo, Shiv Bhakti Ka Raspaan Karo, Jeevan Jyotirmay Ho Jaye