Mohe Nandi Banayio Bhole (मोहे नंदी बनइय्यो भोले: शिव भजन)


Mohe Nandi Banayio Bhole
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥
Mohe, Nandi Banayio Bhole, Apane Kailash Ko,
Main Nach Nach, Kood Kood, Tumako Rijhaungo ।
Mohe, Naag Baniyo Bhole, Apane Gale Ko,
Main Shiv Ke, Gale Ko, Haar Kahalaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Bhikhari Baniyo, to Baniyo, Kashi Ko,
Main Mang Mang, Took Kashi, Vasiyon Se Khaungo ।
Mohe, Gayak Baniyo, to Baniyo, Uzzain Ko,
Main Athon Yaam, Bhole Bhole, Bhole Naam Gaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Tripund Baniyo Bhole, Apane Mastak Ko,
Main, Tinon Lokon Ke, Sar Ko, Taaz Ban Jaungo ।
Nil, Kanth Baniyo Bhole, Apane Gale Ko,
Main, Sari Duniyan Ko, Vish Pi Jaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Damaru Baniyo Bhole, Apane Hathan Ko,
Main, Duniyan Mein, Sur Sangit Sunaungo ।
Mohe, Trishul Baniyo Bhole, Apane Hathan Ko,
Main Asur, Jaano Ko, Sanhar Kar Paungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Ped Baniyo, to Baniyo, Bel Patr Ko,
Main Bhole Ke, Charanon Mein, Arpan Ho Paungo ।
Mohe, Bhasm Baniyo, to Baniyo, Shamashan Ki,
Main Bhasm, Aarati Mein, Shamil Ho Paoongo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Rudraksh Baniyo Bhole, Apane Baag Ko,
Main Sant, Janon Ki, Mala Ban Jaungo ।
Mohe, Fool Baniyo Bhole, Apani Mala Ko,
Main Bhole Bhole, Bol Saaro, Jag Mahakaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Pandit Baniyo Bhole, Pradip Mishra so,
Main Jag Ko, Shiv Mahan, Puran Sunaungo ।
Mohe, Daas Baniyo Bhole, Apane Charan Ko,
Main Bhole, Naam Ke, Bhajan Gaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥

Mohe, Chanda Banaiyo Bhole, Apne Mastak Ko,
Main Sari, Duniyan Ko, Roshan Kar Paungo ।
Mohe, Ganga Banaiyo Bhole, Apni Jata Ki,
Main Bharat, Bhumi Men, Amrit Chhalkaungo ॥
Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥
मोहे नंदी बनइय्यो भोले: शिव भजन - हिन्दी में पढ़ें
मोहे नंदी बनइय्यो भोले, शँकर... भोले... , शम्भु... भोले... ॥ मोहे, नंदी बनइय्यो भोले, अपने कैलाश को, मैं नाच नाच, कूद कूद, तुमको रिझाऊँगो।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanNandi BhajanShiv Bhajan BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar

Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe Sundar Gale Mein Sohe Haar

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe

Shri Ram Bhajan Video: Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe, Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...

Kanhaiya Le Chal Parli Paar

Kanhaiya Le Chal Parli Paar, Saawariya Le Chal Parli Paar, Jaha Birajo Meri Radha Rani, Albeli Sarkar ॥

Ram Charan Chit Lai Re Bhajo Radhe Govinda

Ram Charan Chit Lai Re, Bhajo Radhe Govinda, Bhaktan Ke Sukhdayi Re, Bhajo Radhe Govinda, Jab Maara Tab Tab Taara

Ram Nam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Ram

Ram Naam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Pran । Ram Bhajo, Ram Rato