Nandi Pe Bitha Ke Tu Ghuma De Bhole (नंदी पे बिठा के तू, घूमा दे भोले: भजन)


Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya,
Dekhun Tera Sansar,
Chale Parvat Ke Us Paar,
Duniya Dekhan De Dekhan De,
Kalyug Ka Ye Dor,
Gaura Badli Sari Duniya,
Badi Swarthi Sansar,
Waha Jana Hai Bekar,
Tap Kar Len De Kar Len De,
Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya ॥
Kesi Bhole Tumne Duniya Banae,
Dekhungi Ek Baar Hi,
Papi Adharmi Log Yaha Pe,
Bahut Bura Sansar Hai,
Tum To Kehte Mere Jagat Mein,
Tum To Kehte Mere Jagat Mein,
Hoti Hai Jay Jaykar Ho,
Gaura Rani Suni Ye Hai,
Maya Ki Nagariya,
Dekhun Sara Sansar,
Chale Parvat Ke Us Paar,
Duniya Dekhan De Dekhan De,
Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya ॥

Maine Suna Piya Prthvi Lok Mein,
Pawan Hai Haridwar Ho,
Haridwar Hi Ganga Dham Hai,
Kahte Hai Hari Ka Dwar Hai,
Le Chal Bhole Ganga Kinare,
Le Chal Bhole Ganga Kinare,
Dekhungi Chamatakar Ho,
Hoti Hai Kyo Vyakul,
Itani Ganapati Ki Maiya,
Bada Swarthi Sansar,
Tap Kar Len De Kar Len De,
Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya ॥

Gaura Rani Ye Ganga Dham To,
Lakho Yojan Dur Hai,
Tum To Antaryami Ho Bhole,
Phir Kaho Majbur Ho,
Acha Gaura Ganga Dham Ab,
Acha Gaura Ganga Dham Ab,
Hum Jayenge Jarur Ho,
Der Nahi Karo Chalo,
O Bhole Sawariya,
Dekhun Sara Sansar,
Chale Parvat Ke Us Paar,
Duniya Dekhan De Dekhan De,
Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya ॥

Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya,
Dekhun Tera Sansar,
Chale Parvat Ke Us Paar,
Duniya Dekhan De Dekhan De,
Kalyug Ka Ye Dor,
Gaura Badli Sari Duniya,
Badi Swarthi Sansar,
Waha Jana Hai Bekar,
Tap Kar Len De Kar Len De,
Nandi Pe Bitha Ke Tu,
Ghuma De Bhole Jogiya ॥
नंदी पे बिठा के तू, घूमा दे भोले: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नंदी पे बिठा के तू, घूमा दे भोले जोगिया, देखूं सारा संसार, चले पर्वत के उस पार, दुनिया देखन दे देखन दे, कलयुग का ये दौर, गौरा बदली सारी दुनिया, बड़ा स्वार्थी संसार, वहां जाना है बेकार, तप कर लेन दे कर लेन दे, नन्दी पे बिठा के तू, घूमा दे भोले जोगिया ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara Woh Jeevan Ka Saar Hai, Shani Dev Hai Jag Ke Khivaiya Sab Ke Palanhar Hai॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Damru Wale Bhole Bhale Devo Me Tum Dev Nirale

Damru Wale Bhole Bhale, Devo Mein Tum Dev Nirale, Ganga Dharan Karne Wale, Shiv Bhole Jai Shiv Bhole, Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥

Shiv Bhola Bhandari

Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Kare Dukh Pida Paar Jatadhari, Shiv Bhola Bhandari, Shiv Bhola Bhandari ॥