O Jungle Ke Raja Meri Maiya Ko Leke Aaja (ओ जंगल के राजा, मेरी मैया को ले के आजा: भजन)


O Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja,
Mainne Aas Ki Jyot Jagae,
Mere Naino Mein Maa Hai Samae,
Mere Sapane Sach Tu Bana Ja,
Meri Maa Ko Le Ke Aaja Aaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥
Harpal Maa Ke Sang Birajo,
Dhanya Tumhari Bhakti Hai,
Shakti ka Tum Bhoj Uthate,
Gajab Tumhari Sakti Hai,
Tere Sundar Nain Katile,
O Rang Ke Pile Pile,
Meri Maa Mujhse Mila Ja Aaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥

Pawan Rupi Maa Ke Pyare,
Chal Pawan Ki Aa Jao,
Devon Ki Ankhon Ke Tare,
Aao Karma Kama Jao,
Aa Gahanon Se Tumhe Sajaoon,
Pawon Mein Ghungharu Pahanaun,
Main Bajanu Dhol Aur Baaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥

Pake sanmukh Bholi Maa Ko,
Dil Ki Baten Kar Lun Main,
Pyaas Bujha Lun Janmon Ki Aur,
Khali jholi Bhar Lun Main,
Mathe Charanon Dhul Laga Lun,
Main Soya Nasib Jaga Lun,
Mere Duhkh Santaap Mitaaja Aaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥

Maa Kahegi Beta Mujhko,
Main Maa Kahake Bulaunga,
Mamatarupi Vardani Se,
Var Mukhti Ka Paunga,
Sari Duniya Se Jo Nyari,
Chhavi Sundar ‘Atul’ Pyari,
Us Maa Ka Darsh Dikha Ja Aaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥

O Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja,
Mainne Aas Ki Jyot Jagae,
Mere Naino Mein Maa Hai Samae,
Mere Sapane Sach Tu Bana Ja,
Meri Maa Ko Le Ke Aaja Aaja,
On Jangal Ke Raja,
Meri Maiya Ko Le Ke Aaja ॥
Navratri 2025 Dates
Date Tithi Navratri Devi Name Color
30 March Partipada Mata Shailputri Puja, Ghatasthapana, Nav Varsh, Cheti Chand Orange
31 March Dwitiya Mata Brahmacharini Puja White
Mata Chandraghanta Puja, Matsya Jayanti, Gangaur
1 April Chaturthi Mata Kushmanda Puja Red
2 April Panchami Mata Skanda Mata Puja, Lakshmi Panchami Royal Blue
3 April Sashti Mata Katyayani Puja Yellow
4 April Saptami Mata Kalaratri Puja Green
5 April Ashtami Mata Maha Gauri Puja Grey
6 April Navami Rama Navami, Mata Siddhidatri Puja, Swaminarayan Jayanti Purple
7 April Dashami Navratri Vrat or fasting ends.
ओ जंगल के राजा, मेरी मैया को ले के आजा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ जंगल के राजा, मेरी मैया को ले के आजा, मैंने आस की ज्योत जगाई, मेरे नैनो में माँ है समाई, मेरे सपने सच तू बना जा, मेरी माँ को ले के आजा आजा, ओं जंगल के राजा, मेरी मैया को ले के आजा ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mainu Vrindavan Rakh Lai Mere Thakura

Mainu Vrindavan Rakhlye, Mere Thakura, Kadi Mere Val Takalai, Mere Thakura...

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।