O Mere Gopal Kanhaiya Mohan Murliwale (ओ मेरे गोपाल कन्हैया, मोहन मुरली वाले: भजन)


O Mere Gopal Kanhaiya,
Mohan Murli Wale,
Mohan Murli Wale,
Gopal Muraliya Wale,
O Mere Gopal Kanhainya,
Mohan Murli Wale ॥
Kaho Kaise Tujhe Rijhaoon Rasiya,
Gunawan Nahin Dhanwaan Nahin,
Koi Bada Jagat Mein Maan Nahin,
Phir Kaise Tumhe Apnaoon Rasiya,
Kaho Kaise Tujhe Rijhaoon Rasiya ॥

Koi Jap Tap Sanyam Niyam Nahin,
Mera Gopiyon Jaisa Prem Nahin,
Phir Kaise Tumhe Rijhaoon Rasiya,
Kaho Kaise Tujhe Rijhaoon Rasiya ॥

Koi Gun Ka Bada Bhandar Nahin,
Mera Meera Jaisa Pyaar Nahin,
Phir Kaise Tumhe Manaoon Rasiya,
Kaho Kaise Tujhe Rijhaoon Rasiya ॥

Mere Bhilani Jaise Ber Nahin,
Tere Aane Mein to Der Nahin,
Phir Kaise Bhog Lagaoon Rasiya,
Kaho Kaise Tujhe Rijhaoon Rasiya ॥

O Mere Gopal Kanhaiya,
Mohan Murli Wale,
Mohan Murli Wale,
Gopal Muraliya Wale,
O Mere Gopal Kanhainya,
Mohan Murli Wale ॥
ओ मेरे गोपाल कन्हैया, मोहन मुरली वाले: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ मेरे गोपाल कन्हैया, मोहन मुरली वाले, मोहन मुरली वाले, गोपाल मुरलिया वाले, ओ मेरे गोपाल कन्हैंया, मोहन मुरली वाले ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥