Oghad Bam Bam Bam (औघड बम बम बम - भजन)


Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam,
Bhang Dhatoora Piye Halahal,
Bhang Dhatoora Piye Halahal,
Aur Lagaye Dam,
Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam ॥
Teen Lok Ke Nath Kahao,
Shiv Bhole Vardaani Tum,
Laakho Paapi Tumne Taare,
Daata Bade Ho Daani Tum,
Daas Samajhkar Humen Taar Do,
Daas Samajhkar Humen Taar Do,
Bhole Kam Se Kam,
Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam ॥

Bhakton Ke Rakhwale Tum Ho,
Tumko Sada Hi Pooja Hai,
Palanhaara Siva Tumhare,
Aur Na Jag Mein Dooja Hai,
Naam Tumhara Hum Ratate Hain,
Naam Tumhara Hum Ratate Hain,
Shiv Bhole Har Dam,
Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam ॥

Hum Moorakh Agyan Adham Hai,
Satya Maarg Dikhla Do Na,
Daas Ke Hriday Mein Bhole,
Gyaan Ki Jyoti Jala Do Na,
Aas Lagakar Hey Shiv Shankar,
Aas Lagakar Hey Shiv Shankar,
Sharan Mein Aaye Hum,
Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam ॥

Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam,
Bhang Dhatoora Piye Halahal,
Bhang Dhatoora Piye Halahal,
Aur Lagaye Dam,
Oghad Bam Bam Bam,
Oghad Bam Bam Bam ॥
औघड बम बम बम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
औघड़ बम बम बम, औघड बम बम बम, भांग धतूरा पिए हलाहल, भांग धतूरा पिए हलाहल, और लगाए दम, औघड बम बम बम, औघड बम बम बम ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Oghad Bam Bam Bam Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Gajbadan

Tum Ho Sankat Haran Nath Asaran Saran l Saara Tribhuvan Tumhe Kar Raha Hai Naman l Shiv Dulare Ho......Gauri Ke Pyare Suvan.. Gajabadan ~Gajabadan ~Gajabadan