Om Mahakal Ke Kal Tum Ho Prabhu (ॐ महाकाल के काल तुम हो प्रभो - भजन)


Om Mahakal Ke Kaal Tum Ho Prabho,
Gun Ke Aagaar Satyam Shivam Sundaram,
Kar Mein Damroo Lase Chandrama Bhaal Par,
Ho Nirakar Satyam Shivam Sundaram ॥
Hain Jata Beech Mandakini Ki Chhata,
Mundmaala Gale Beech Shobhit Maha,
Kanth Mein Maal Vishdhar Lapete Huye,
Karke Singaar Satyam Shivam Sundaram ॥

Baithe Kailash Parvat Par Aasan Laga,
Bhasm Tan Par Ho Apne Lagaye Huye,
Hai Tumhari Nirali Ye Anupam Chhata,
Sabke Aadhaar Satyam Shivam Sundaram ॥

Nyaari Mahima Tumhari Hai Tryalok Mein,
Bhole Bhandari Tum Bole Jaate Prabho,
Ambika Nirmohi Ko Aas Hai Aapki,
Kar Do Uddhar Satyam Shivam Sundaram ॥

Om Mahakal Ke Kaal Tum Ho Prabho,
Gun Ke Aagaar Satyam Shivam Sundaram,
Kar Mein Damroo Lase Chandrama Bhaal Par,
Ho Nirakar Satyam Shivam Sundaram ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
ॐ महाकाल के काल तुम हो प्रभो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ॐ महाकाल के काल तुम हो प्रभो, गुण के आगार सत्यम् शिवम् सुंदरम्, कर में डमरू लसे चंद्रमा भाल पर, हो निराकार सत्यम् शिवम् सुंदरम् ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Pyare Hanuman Ek Kaam Kar De

Ram Ke Dulare Ek Kaam Kar De, Pyare Hanuman Ek Kaam Kar De, Tere Bhakton Main Mera Naam Kar De, Ram Ke Dulare Ek Kaam Kar De ॥