Palki Sone Ki Ram Prabhu Ki Aayi (पालकी सोने की राम प्रभु की आई: भजन)


Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai,
Viraje Raghav Ji,
Sang Seeta Charon Bhai ॥
Sundar Sundar Ratn Jaden Hai,
Hath Jod Sab Bhakt Khaden Hai,
Bhala Kare Raghurai,
Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai ॥

Pavan Dev Path Saaph Karat Hai,
Varun Dev Jal Chhidak Rahat Hai,
Kar Seva Phal Pai,
Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai ॥

Hari Charanon Mein Pushp Barsate,
Darshan Ko Sab Dev Taraste,
Hey Prabhu Bano Sahai,
Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai ॥

Jo Chalta Sang Ram Ki Pheri,
Kate Kasht Na Lagati Deri,
‘Om Sain’ Gun Gai,
Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai ॥

Palki Sone Ki,
Mere Ram Prabhu Ki Aai,
Viraje Raghav Ji,
Sang Seeta Charon Bhai ॥
पालकी सोने की राम प्रभु की आई: भजन - हिन्दी में पढ़ें
पालकी सोने की, मेरे राम प्रभु की आई, विराजे राघव जी, संग सीता चारों भाई ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Aaja Aaja O Ganraja

Sarvpratham Pujit Ho Baba, Tum Ho Jag Se Nirale। Sraddha Bhav Se Tumko Puje, Sada Yeh Duniya Wale। Kabhi Nahin Koi Lauta Tere Dar Se Yun Hi Khali, Bhar-Bhar Ke Dete Ho Sabko, Jo Aaye Banke Sawali॥