Pratham Ganraj Ko Sumiru Jo Riddhi Siddhi Data Hai (प्रथम गणराज को सुमिरूं, जो रिद्धि सिद्धि दाता है: भजन)


Jo Riddhi Siddhi Data Hai,
Pratham Ganraj Ko Sumirun,
Jo Riddhi Siddhi Data Hai ॥
Meri Ardaas Sun Deva,
Tu Mooshak Chadh Ke Aa Jana,
Sabha Ke Madhya Aakar Ke,
Hamari Laaj Rakh Jana,
Hamari Laaj Rakh Jana,
Karoon Vinti Main Jhuk Unki,
Maan Gauri Jinki Mata Hai,
Pratham Ganraj Ko Sumirun,
Jo Riddhi Siddhi Data Hai ॥

Kriya Na Mantra Main Jaanu,
Sharan Mein Teri Aaya Hoon,
Meri Bigdi Bana Dena,
Chadhane Kuchh Na Laaya Hoon,
Chadhane Kuchh Na Laaya Hoon,
Karoon Kar Jod Nam Nam Ke,
Jo Mukti Ke Pradata Hai,
Pratham Ganraj Ko Sumirun,
Jo Riddhi Siddhi Data Hai ॥

Suno Shankar Suvan Mujhko,
Abuddhi Gyan De Jao,
Andhere Mein Bhatkate Ko,
Dharm Ki Raah Dikhalao,
Dharm Ki Raah Dikhalao,
‘Anil’ Vinti Kare Unki,
Vinayak Jo Kahata Hai,
Pratham Ganraj Ko Sumirun,
Jo Riddhi Siddhi Data Hai ॥

Jo Riddhi Siddhi Data Hai,
Pratham Ganraj Ko Sumirun,
Jo Riddhi Siddhi Data Hai ॥
प्रथम गणराज को सुमिरूं, जो रिद्धि सिद्धि दाता है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुनो शंकर सुवन मुझको, अबुद्धि ज्ञान दे जाओ, अँधेरे में भटकते को, धर्म की राह दिखलाओ, धर्म की राह दिखलाओ, ‘अनिल’ विनती करे उनकी, विनायक जो कहाता है, प्रथम गणराज को सुमिरूं, जो रिद्धि सिद्धि दाता है ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Shukar Kara Bappa, Tera Shukar Kara

Tera Shukr Kara Ve Bappa, Main Tera Shukr Karan, Tera Shukr Kara Ve Ganpati , Main Tera Shukr Karan, Tusan Lagiya Tod Nibhaian, Main Tera Shukr Kara...

Ek Baar To Radha Bankar Dekho Mere Sawariya

Ek Baar To Radha Bankar Dekho, Mere Sawariya, Radha Yun Ro Ro Kahe, Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Mera Shyam Khatu Wala

Naiya Chala Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala,
Mujhko Bacha Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala ॥

Mero Radha Raman Girdhaari

Menro Radha Raman Giradhari, Giradhari Shyaam Banavari, Menro Radha Raman Giradhari..

Radha Kon Se Punya Kiye Tune

Radha Kaun Se Puny Kiye Tune, Jo Hari Roj Tere Ghar Aate Hain ॥ Radha Jab Solah Shringar Kare,...