Prem Rang Se Bhari Brij Ki Holi Lage (प्रेम रंग से भरी ये ब्रज की होरी लागे: भजन)


Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Hori Lage ॥
Doha – Kanha Pe Rang Daarne,
Gori Radhika Aai,
Rang Bhari Vo Pyar Ke,
Bhar Pichkaari Lai ॥

Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Hori Lage,
Braj Ki Hori Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage ॥

Murli Manohar Kaare Kaare,
Radha Gori Gori,
Kanha Ke Sang Khelan Aai,
Barsaane Ki Hori,
Radhe Aur Mohan Ki,
Haan Radhe Aur Mohan Ki,
Jodi Pyari Lage,
Jodi Pyari Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage,
Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Holi Lage,
Braj Ki Hori Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage ॥

Gwal Baal Aur Sakhiyon Ne Bhi,
Kar Li Hai Tayari,
Bach Na Paye Hori Mein to,
Koi Bhi Is Baari,
Phagun Maah Ki Chhata to,
Phagun Maah Ki Chhata to,
Badi Nyari Lage,
Badi Nyari Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage,
Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Holi Lage,
Braj Ki Hori Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyaari Lage ॥

Aao Bhakto Is Hori Mein,
Tum Bhi Tan Man Rang Lo,
Rangon Ki Is Hori Mein,
Prem Rang Tum Bhar Lo,
Saari Duniya Radhe Mohan,
Saari Duniya Radhe Mohan,
Ki Pujari Lage,
Haan Pujari Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage,
Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Holi Lage,
Braj Ki Hori Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage ॥

Prem Rang Se Bhari Ye Braj Ki Hori Lage,
Braj Ki Hori Lage,
Kanha Ko to Laal Karne Ki Taiyari Lage ॥
प्रेम रंग से भरी ये ब्रज की होरी लागे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रेम रंग से भरी ये ब्रज की होरी लागे, ब्रज की होरी लागे, कान्हा को तो लाल करने की तैयारी लागे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥